Karachi Cantt Mein Train Ki 
Harn Or Guard Ki Whistel Kay Sath Hee Train Nay Fataihana Andaaz Mein Track Par 
Reenghna Suro Kar Dia Logh Tezi Say Kuch Oper Kuch Nechay Chalaghein Maar Maar 
Kay Maher Athlete Ki Tra Koi Train Ko Galay Laga Raha Tha Koi Iss Se Dour Bhagh 
Raha Tha Jasay Uss Ko Khuf Hu Kay Kahien Jis Saas Or Bv Ko 15 Dino Kay Liye 
Widah Karnay Aya Hay Wo Uss Kay Sath Hee Na Utar Jaien Or Us Kay Suhanay Sapno 
Ko Railway Ki Nazar Na Lagh Jaye Mein Nay June Kay Paseenay Ko Mathay Par Hee 
Soukhta Mehsoos Kia Huamari Manzil Karachi Say Lagh Bhagh 1200 Km Dour Lahore 
Thi Train Ki Economy Class Mein Humein Kuch Zayda Samajh Nahi Aa Rhi Thi Kay Hum 
Knsay Jahaan Mein Hein Sath Moujhudh Kaleem,,Sohail Or Naved Nay Delaasa Dia Kay 
Hum Train Mein Hein Or Ubh Tak Ki Itelaa Kay Mutabiq Iss Ki Akhree Manzil Lahore 
Hee Thi.Train Ki Iss Kafaeyti Boghiee Mein Har Tra Ka Janwar Maaf Kijye Ga Har 
Tra Kay Insaan Moujhdh Thay Hum Nay Jaib Mn Hath Daal Kar Tickets Ki Moujudgi Ko 
Check Krna Chaha Tu Humaray Hath Gold Leaf Ka Packet A Gia Hum Hairat Zada Say 
Soch Mein Par Gaye Kay Hum Nay Smoking Ki Naimat Kab Say Apnaa Lee Hay Naved 
Goldleafia Nay Humara Hath Zor Se Jhatka Or Gouya Huay Khan Sahib Jaib Apni Apni 
,,,Humein Elm Hua Kay Rush Ki Waja Say Pata Hi Nahi Chala Sukar Hay Haath Humara 
Apna Hee Tha Magar Jaib Bahi Gold Leafiye Ki The Hum Sharminda Bilkul Nahi Huay 
Qun Kay Ye Sifat Hum Mein Bachpan Se Hi Nahi Thy Ubh Tu Hum Gabhro Jawaan Thay 
Naved Nay Kaleem Ko Awaaz Laghaie Tu Pata Chala Is Time Boghiee Mein 3 Kaleem 
Paye Jatay Hein Sab Naved Ki Taraf Matwajha Hu Gaye Ubh Fer Awaaz Ayee Fiqay 
Kaha Hay ,,,,,,,Oyeeeee Fiqqaaayyyyyyyyy,,,,,,,,,,,,Hum Bolay Kia Hua Bahi ,,Jawabh 
Mein Ek Moty See Sehat Mand Gali Inayet Ki Gai,,,,,,,,,Paa Kithay Mar Gian Tu 
,,,Mein Tenu Labh Labh Mar Gia,,,,Sohail Nay Ghusay Se Humein Dekha Irshaad Hua 
Kaminay Tu Fiqa Bee Hay,,,Hum Is Betakalfi Par Zra Sa Naraaz Hunay Kaa Soch Hee 
Rahay Thay Kay Dekha Aas Paas Sinf E Nazuk Naam Ki Koi Cheeze Na Thi Hum Nay Us 
Kay Alfaazon Ko Ignore Kar Dia Train Ki Kherki Jis Ko Bhut Say Kaghozon Taron 
Dhaghun Say Band Karnay Ki Koshish Ki Gai Thy Uss Kay Mailay Kuchalay Plastic 
Kay Sheeshon Say Deklha Tu Pata Chala Train Abhi Drigh Road Tak Hi Pohanchi 
Thee.Garmee Thee Kay Na Pochu Asa Lagh Raha Tha Kay Humari Boghiee Main Tandoor 
Bee Lagha Hua Hay Zahir Hay Sardion Mein Sohlat De Dee Gai Hu Fer Uss Ki Agh 
Bujhana Bhool Gaye Hun(Jaree Hay)