Humarai Train 133 Square Kilo
Meter Phalay Huay Shaer Oliya Jisay Sofion Buzarghun Ka Shaer Kaha Jata Hay
Jisay Baba Farid Jasay Azeem Buzargh Or Punjabi Zubaan Kay Shaer Ki Jaye
Paidaash Hunay Ka Bee Sharf Hasil Hay Ko Alvida Kahtay Huay,,, Train Ahista
Ahista Khanaywaal Ki Traf Reghnay Laghi Jasay Zara See Speed Usay Kahein Lahore
Qabal Az Waqt Na Phoncha Dey Ya Yun Kaha Jaa Sakta Hay Jasay Iss Kay Lohay Kay
Wheelon Mein Kahien Moch Ayi Hui Hu,,,Kia Chaal Qiyamat See Hay,,,Har Ada Hay
Lajwaabh,,,Ubh Tu Waqt Par Pohanch Jana Laghta Hay Deewana Ka Khaabh.Baat Hu
Rahi Thay Multan Ki Iss Shaer Ko Bazaaron,Mazaaraat,Masaajid Or Gunbadoun Ki
Kambal Mein Lipata Hua Hay Khtay Hein Ki Iss Shaer Ki Tareekh Kamo Besh 6000
Saal Purani Hay Iss Ki Zameen Sonay Jasee Cheezein Ughalty Hay
Aam,,,Amrood,,Gandum,Kapaaas,Gana Or Kino Yahan Ki Eham Tareen Ajnaas Hein Wesay
Yahan Ki Garmee Insaan Ko Faslon Ki Tra Paka Dety Hay.Naved Ney Nashtay Kay Baad
Hasb E Adat Mangh Kar Akhbaar Parna Shuro Kar Dia Asa Lagh Raha Tha Akhbaar Kay
Asal Malik Ko Parnay Kay Liye Naya Akhbaar Laina Paray Ga Samnay Ek Sahib Bhut
Hee Ghusay Mein Bathay Huay Thay Un Ko Dekh Kar Humein Apnay Ek Buzargh Yaad Aa
Gaye Jin Ka Blood Presure Har Waqt Akhree Limit Ko Chuu Raha Huta Tha Un Se
Pochu Kasay Hu Uncle Agay Say Jawab Milta Qun Tu Nay Dawa Laa Kar Deni Hay Yay
Sahib Bee Un Jasay Hee Thay Har Baat Mein Golla Baari Shuro Kar Detay Jasay Abhi
Border Par Baithay Hun Sohail Nay Ankh Maar Kar Un Say Poch Lia Hazrat Kaha Ki
Rawanghi Hay Wo Bolay Train Kaha Jaa Rahi Hay Sohail Nay Kaha Lahore,,,Wo Bolay
Tu Mein Nay Konsa Dubai Kaa Ticket Lia Hua Hay Sohail Nay Ahista Say Khudh
Kalaami Kay Andaaz Mein Kaha Oper Ka Lay Laina Tha Un Sahib Kay Kaan Bhut Teiz
Thay Ya Pher Wo Daily Acid Wash Kartein Hun Gay Kaleem Nay Moqay Ki Nazaqat Ko
Samajh Lia Kaha Aap Oper Barth Par Kab Jao Gay Sohail Baa Izat Rescue Hu Gia Or
Sohail Kaleem Kay Darmiaan Mamla Chai Kay Cup Par Set Hu Gia Magar Baray Sahib
Ubh Bee Kaleem Ki Tarjumaani Say Poray Tor Par Mutmain Nazar Nahi Aa Rahay Thay
Naved Nay Kaha Khan Saab Khanay Ka Bata Du Kis Kis Nay Kitna Kitna Kahaya Taqay
Mein Sogh Pori Tara Mana Sakun Werna,,,,,,,,,,,,,,,Hum Nay Agay Ka Pocha Wo
Bolay Allah Karay Ap Ko Asa Sussar Milay,,,,,,,,,,,,,Hum Us Kay Qadmon Mein
Baith Gaye Or Uss Se Kaha Apni Budua Wapis Lay Lay Magar Wo Tas Say Mas Na Hua
Hum Nay Socha Kay Jabh Ubh Tak Hum Sarri Jamhorri Hakoomaton Ko Bardassht
Kartein Aye Hein Fer Asa Kuch Hua Bee Tu Nipat Lein Gay.Train In Saari Wardaton
Say Beniaaz See Agay Bar Rahi Thee (Jaari Hay)