Islah-E-Muashira
Seemnaars,Conventions,Meetings Or Jalsey Juloos Se Hergiz Nahi Honewala...Sirf
Or Sirf Muashee Insaaf, Samajee Insaaf Or Siasee Insaaf Hi Sey Mumkin Hey..Lekin
Koi B State Is Kam K Liye Tayyar Nazar Nahi Aa Raha Hey Siwa-E- Europe Ka
Muashira Wo B Sirf Apney Awam K Liye.
Ek Taraf Imam Husain(As) Islah-E-Muashirey K Liye Kerbala Poonchey...Dusree
Janib Us Waqt K Tamam Mulla Ewan-E-Yazeed Mey Poonchey...Aagay Kia Huwa Ye Aap
Behter Jantey Hein....
Aaj B Islah-E- Muashira K Liye Bohot Sarey NGO's, Simajee Tanzeemein,Mazhabee Or
Gair Mazhabee Siasee Or Gair Siasee Tanzeemein Akhbaroo, Shehr Ki Deewaroo Or
Kagazoo Mei Masroof-E-Amal Nazar Aata Hey Lekin Haqeeqat Mei In Ka Koi Wajood
Nazar Nahi Aata. Nam K Baree Baree Jamatein B Sirf Election K Dinoo Mei Chiknee
Chapree Batein Ker K Khud Ko Awam Ka Khadim Khehlata Nazar Aata Hey Wo B Sirf
Vote Batoorney K Liye Jub Election Ka Season Guzar Jata Hey To Na In Ki Shaklein
Nazar Aatee Hein Na In Ka Awam Ki Behtaree K Liye Koi Maqool Kam Ya Mansooba.
Balki Bohot Sey Khadim Alaqa Hi Choor Detey Hein Or Bohot Sey Apney Derwazey
Awam K Liye Bund Ker Detey Hein Bahar Security Bitha Dia Jata Hey Or Awam K Liey
Daakhla Mamnoo Qarar Dia Jata Hey. Or Sirf Apney Chamchoo,Cheeloo Or Karobaree
Sathiyoo K Liye In Ka Derwaza Khula Rehta Hey. Ye Hey Hamaree Jamhooree
Numaindoo K Asil Rung O Roop.
Awam Aaj B Bunyadee Zarooratoo Ko Tarastey Nazar Aatey Hein. Pani,
Bijlee,Sewerge,Gas, Hospitals, Schools, Colleges,Universities Or Routs Her Insan
Ki Bunyadee Zarooratoo Mei Aata Hey Lekin Afsooos Ye Sb Cheezein Awam Ki
Dastaras Se Baher Hotey Ja Rahe Hein.
Education Awam Ki Poonch Se Bilkul Baher Hey Jub Se Serkaree Schooloo Ka Wajood
Kum Hota Ja Raha Hey Or Galee Galee Private Commercial School Khulney Lagay
Hein. Her School Apni Merzee Ki Feesein Awam Se Batoor Rahi Hey. In Schooloo
Mein Sahoolatoo Ka Fuqdaan Apni Jaga Lekin Taleem B Baraye Naam Hey Quin K
Teacher B Na- Tajurbakaar Or Na Ahl Hotey Hein Or Mamoolee Salary Per Rakha Jata
Hey. College Or Universities Ka B Koi Pursaan-E- Haal Nahee..Taleem Ek Industry
Bun Chuki Hey Or Education Ek Khawab.
Is Gisee Pitee Jamhooriat Mei Awami Numaindoo Ka Role Sb K Samney Iyan Hey K Ye
Log Election Se Qabel Apne Aap Ko Khadim Kehtey Hein Or Election K Baad Awam K
Liye Qaatil Sabit Hota Hey..Wazeer Musheer Sb Awam Per Booj Bantey Hein..Wazeer
Ka Matlab Hey Booj Uthana Lekin Hamaree Qatlana Jamhooriat Mey Hamara Wazeer
Apney Poorey Khandaan,Chamchoo,Cheeloo Sb Ka Booj Awam Per Daalta Hey...Esee
Jamhooriat Per Lanet Ho Jis Se Awam K Dukhoo Mei 1000 Guna Izafa Hojata Hey Or
Awam Pehley Se Ziada Be Bus Or Be-Sumer Hojata Hey.