SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE18)

(hukhan, karachi)

Chai Kay Dhuwaein Mein Saroor Tha Khushbu Thee Maza Tha Karakoram Highway Par Havelian Kay Hotel Mein Humaree Shaam Chai Nay Surmaiee Kar Dee Thee Hum Chaaro Taraf Say Paharon Mein Ghree Hui Haseen Shaam Kaa Ek Hisa Thay Kuch Tu Asa Thaa Iss Shaam Mein Kay Hum Bas Khamoshee Say Chai Or Wadee Mein Hay Kahien Khuu Say Gaye Thay Navid Nay Apni Daraaz Zulfon Ko Chai Mein Dobhnay Say Rokka Waiter Nay Cup Uthatay Huay Kici Or Cheese Ki Zarorat Ka Pocha Hum Nay Kaha Ji Washroom Ki Zarorat Hay Sohail Bola Haripur Mein Konsa Wo Washroom Kay Pasay Mangh Raha Tha Kaleem Bola Khan Saab Na Khud Khatay Hein Naa Hee Dosron Ko Milta Hay Washroom Mein Jaa Kar Sharminda Hee Huna Hay Navid Chaarpai Par Late Gia Cigrete Ka Dhuwaan Havelian Uss Ki Fazaa Mein Polution Shaamil Karnay Laga Hum Washroom Janay Ki Tyaree Karnay Lagay Havelian Dor Darya Kay Kinaray Abaad Hay Iss Nay Sultan Mehmood Ghaznavi,Sultan Sabetugen Or Mughlon Jasay Hukmarano Kay Adwaar Dekh Rakhay Thay Iss Liiye Insano Kay Baray Mein Yaqeenan Iss Ka Tajraba Hum Say Kahein Zayda Tha. .Yahan Hindko,Pahari Pothohari Zubaanein Boli Jaa Rahi Thee Zaraat Or Tijaarat Yhan Kay Loghun Kay Rozgaar Ka Eham Zariya Hein . Pakistan Ordinace Factory Bee Yhaan Ki Ek Waja E Shohrat Hay.Logh Bhut Milensaar Thay Har Koi Paas Aa Kar Kheriat Daryaft Karta Hum Navid Ki Goldleaf Utha Kar Usay Offer Kartay Navid Ki Saans Seenay Mein Ataknay Laghty Serf 2 Afraad Nay Navid Ki Saans Block Ki Jinhun Nay Hum Teeno Ki Khahish Ka Ehtraam Kartay Huay Navid Ko Sadmay Say Du Chaar Kia .Gamrmee Ahista Ahista Sumaal Say Dar Kar Kam Huty Jaa Rahee Thee Kalim Nay Munh Hath Dhu Kar Pani Par Bhut Bara Ehsaan Kia .Ubh Paharee Rasta Shuro Hu Chuka Tha Bus Nay Zor Lagana Shuro Kar Dia Tha Barsaaty Nalay Par Banaye Gaye Pull Kay Baad Bus Nay Qadray Daein Mor Kata Or Fer Sey Seedhi Hu Gai Kalim Or Sohail Ounghnay Lagay Navid Nay Humara Walkman Lay Kar Humaray Hee Celon Say Mazay Lainay Shuro Kar Uss Par Kaha Khan Saab Bara Bore Music Hay ,,Yeni Uss Ka Matlab Tha Mera Taste Acha Nahi Hay Hum Nay Kaha Wa Wa Kharcha Sada Te Nakhray Loghan De Mosam Ki Tabdeli Humaray Mood Par Asar Dall Rahi The Ju Ek Siaah Kay Liye Naik Shagoon Hay Qun Kay Usay Apnay Andar Ki Ankh Kay Liye Khamosh Nahi Balkay Boltay Nazaray Achay Laghtay Hein(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1199101 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.