Saffar Sumaal Kay(Episode23)
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Zain Hotel Kay Owner Shah Sabh
Say Mulaqaat Hu Gai Bhut Muhbat Say Ehwaal Pocha Humara Plan Sunn Kar Kuch
Nasehtein Ki Kuch Rahnumaiee Ki ,,Fer Shah Sabh Kehnay Lagay Hotel Mein Koi
Pareshaani Tu Nahi Hum Nay Bhut Dil Say Unn Ki Muhabat Kaa Sukeria Adaa Kia Fer
Unhon Nay Raat Zain Hotel Ki Roof Top Say Abbotabad Kay Nazaray Or Free Chai Ki
Dawat De Daali Iss Share Mein Ye Humaree Pehli Dawat Thee Hum Nay Zror Kah Kar
Un Say Raat Ka Wada Kar Lia Shah Saabh Kay Janay Kay Baad Kaleem Bola Sab Theek
Hay Magar Room Kaa Rent Zayda Hay Shah Saabh Ko Ghreebon Kay Budget Kaa Bilkul
Khiyaal Nahi Sohail Nay Kaleem Kay Iss Remarks Ko Over Ruled Kah Kar Bilkul
Mustard Kar Dia Navid Ki Cigeret Khatam Hu Chuckee Thee Iss Liye Iss Waqt Usay
Duniya Mein Kuch Acha Nahi Lagh Raha Tha Hum Say Aqsar Loghun Nay Kahaa Khan
Saab Aap Cigrete Qun Nahi Petay Hum Saaf Kah Detay Bahi Pasay Nahi Hein Wo
Khttay Cigrete Kay Hum Kahtay Nahi Bahi Elaajh Kay Wesay Bee Humein Kicic Bee
Kisam Kay Dhuwan Daar Lecture Ya Taqreer Kay Liye Kabi Bee Dhuwaein Wali Cheeze
Ki Zarorat Nahi Pari.Navid Nay Nai Goldleaf Kaa Ek Bharpoor Kash Lay Kar Sara
Dhuwaan Sohail Kay Munh Ki Traf Undail Dia Sohail Navid Ko Dabouchnay Kay Liye
Lapka Magar Navid Tyaar Thaa Uss Nay Kamaal Phurtee Say Khud Ko Sohail Ki
Pohanch Say Itna Dour Kar Lia Jasay Humaree Hakoomatein Power Mein Anay Kay Baad
Khud Ko Awaam Say Dour Kar Letein Hein.Ajh Humara Plan Harnoi Kay Darya Dor
Janay Kaa Tha Abbotabad City Ko Cahron Traf Say Sarban Ki Paharion Nay Gheraa
Hua Hay Abbotabad Kaa Asal Nazaraa Inn Paharon Say Nazar Ata Hay Siahon Kay Liye
Ye Pahariaan Dorbeen Wala Kaam Kartein Hein.Abbotabad Siahun Kay Liye Ek Rest
Place Or Darwazay Kaa Kaam Karta Hay Ap Koo Muree Jana Hu Naraan Kaghaan
Shugraan Hunza Gilgit Jaha Jana Hu Yhan Araam Kro Zarorri Samaan Lo Har Tara Ki
Transport Sab Kuch Ba Asaani Mil Jata Hay.Abbotabad Ki Ek Khaas Baat Ye Bee Hay
Kay Ye Siah Ko Husla Deta Hay Piaar Deta Hay Sakoon Deta Hay Kaan Mein Sargoshee
Karta Hay ,,,Ye Tu Trailer Hay Asal Film Tu Abhee Shuro Huni Hay ,,,,,,,,,,Siah
Jabh Agay Bar Jata Hay Tu Har Manzar, Har Nazara ,Sharaarty Mosam Uss Ko
Abbotabad Ki Sargoshee Yaad Delata Hay(Jaaree Hay)