Saffar Sumaal Kay(Episode27)

(hukhan, karachi)

8 Km Kay Safar Kay Baad Hum Nay Kakul Kay Oper Jaa Kar Nechay Abbotabad Shaer Kaa Hairatangaiz Nazaaara Kia Ye Bee Thandiani Kay Safar Ka Ek Anmol Tohfaa Mila Pora Abbotabat Shaer Humaree Nazron Kay Samnay Tha Hum Nay Waheein Say Apnay Hotel Ko Dhundnay Ki Koshish Ki Ju Kay Baray Araam Say Nakaam Hu Gai Fer Ilyasi Masjid Kay Menaar Ko Talash Kia Result Zero Aya Ju Kay Aqsar School Mein Humein Milta Rehta Thaa Par Ajh Iss Sifar Ki Waja Say Naa Humein Murgha Ban Na Thaa Naa Hee Bahi Ki Daant Kaa Koi Daar Tha Naa Hee Humaree Class Mate Humaree Taraf Tanzia Andaz Sey Dekh Sakty Thein School Ka Zamana Bee Kia Zamana Tha Ubh Sab Bhut Yaad Atein Hein Wo Sahir,Nadeem,Saqib Waqar,Khalid,,Or Bhut See Pari Chahra Larkian Ju Uss Time Churail Nazar Aty Thein Ubh Sab Kuch Waqt Ki Dhool Mein Kahien Gum Hu Gia. Pata Nahi Hum Agay Bar Gaye Yaa Fer Wo Sab Pechay Yadon Mein Dhal Gaye,,,Kia Din Thay Wo Sab Sath Thay Bagh Mein Lagay Phoolon Ki Tra,,,Koi Titly Koi Jugnu Koi Apsraa Han Sab Kuch Yadon Ki Diary Mein Hay Asay Jasay Koi Piaree See Nazam,, Dil Ko Choo Lainay Wali Awazain Wo Hans Hans Kar Rona Wo Ro Ro Kar Shikayetein Karna Sab Kitna Haseen Tha Piar Asa Anmol Kici Makhmali Khushbu Ki Tra. Fer Zindeghi Agay Bar Gai Sab Kuch Peechay Reh Gya Pehla Cheen Kar Zindeghi Nay Kuch Or Dey Dia Ju Pehlay Saa Nahi Thaa Naa Hi Kabi Hu Ga...Han Mein Nay Sekkha Jeena Bas Jeena Jeena,,,,,Abbotabad Humaray Samnay Tha Gharon , Daftar, Palaz Sab Ek Hee Saf Mein Nazar Aa Rahay Thay Sab Nay Mil Kar Abbotabad Ko Abaad Kar Rakha Thaa Agay Pechay Oper Nechay Bas Buildings Jis Mein Hazaron Lakhun Logh Bastay Hein Hanstay Hein Khatay Petay Hein Sakoon Patay Hein Bayakwaqt Koi Khushion Ko Samait Raha Huta ,Koi Pareeshanio Say Lar Raha Huta Bas Tra Tra Ki Mashaaghel Insaan Ko Ulghaye Huay Koi Mard E Maidaan Koi Kamzor Tinkay Jasa Har Tra Ka Rangh Har Tra Ka Kaam Sab Kuch Wahan Tha Hum Yahan Serf Baher Say Un Kay Nazaray Mein Mashghool Thay Hum Bulandee Par Thay Nechay Abbotabad Tha ,,,Mra Har Rangh Ankhon Mein Utaar Lo Mein Ajooba Nahi Par Kam Bee Nahi(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1211363 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.