SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE28)

(hukhan, karachi)

Hum Bhut Sara Zehni Or Jismaani Tashudad Sehnay Kay Baad Hum Nay Koshish Ki Iss Saree Situation Kay Zemadaar Driver Sahib Kaha Hein Wo Nazar Hee Nahi Aa Rhay Thay Hum Hairat Zada Or Pareshaani Say Driver Ko James Bond Ki Tra Talash Kar Rahay Thay Apna Sun Glass Utaar Kar Hum Nay Usay Theek Say Saaf Kia Magar Driver Hazrat Ka Koi Pataa Na Chala Humaree Saans Uthal Pathal Hu Rahi Thee Uss Par Driver Ki Gumshudgee Ka Sadma Hum Dil Say Udaas Hu Gaye Ubh Mustaqbil Mein Agar Humaray 12 Ya 13 Bachay Huay Tu Un Ko Humaree Dhukay Wali Bahaderi Kay Qisay Kon Sunaye Ga Kaleem Bola Bahi Ye Tu Aghwaa Ka Case Ban Jaye Ga Hum Par Fer Khud Sy Hee Bola Sohail Par Sara Ilzaam Dal Kar 12 Saal Karwa Dein Gay Itnay Mein Garee Nay Zor Say Cheenk Maari Hum Hairaan Say Reh Gaye Garee Mein Pehlay Buraiyaan Kam Thein Ju Iss Ko Flew Bee Hu Gia Pata Chala Driver Saab Isss Kay Neechay Ghusay Huay Thay Yaa Iss Kay Neechay Aa Gaye Thay Hum Nay Tu Suna Tha Shadi Shuda Admee Apni Bv Kay Thalay Laga Huta Hay Ye Wahid Shadishuda Tha Ju Gadi Thlay Tha Kher Wo Baray Fakhria Andaaz Mein Baher Niklaa Kapray Jahray Fer Humein Apna Naib Ya Chotta Samajh Kar Hukam Sader Farmaya Ye Paharee Ki Left Side Par Hotel Hay 1 Cup Doodhpati Pakarna Hum Nay Sadatmand Chotay Ki Tra Nechay Ko Dour Laga Dee Nechay Serihiaan Utar Kar Dekha Larkion Ka Jaloos Chashmay Kay Pani Say Apni Piaas Bujha Raha Tha Hum Fer Say Tyaar Hu Gaye Mazeed Beizaty Kay Liye Fer Khiyaal Aya Hum Tu Chotay Nahi Siah Hein Hotel Kay Chotay Ko Kaha Baitta Oper Ustad Ko 1 Cup Chai De Du ,,,Awaaz Ayi Itnay Bee Kanghlay Nahi Chai Pilaa Rahay Hein Driver Ko ,,,,,Hum Fiqron Ki Machino Say Zara Dour Ek Table Par Baith Gaye Wadee Haryali Say Bhuree Hui Thee Chashmay Ka Pani Bhut Thanda Or Meeetha Tha Navid Or Sohail Be Nechay Utar Kar Hotel Aa Gaye Kalim Ustaad Ki Madad Kay Liye Oper Rok Gia Hum Abbotabad Say 12 Km Dour Thay Abhee Mazeed Ounchaiee Kay 18km Kaa Safar Baqi Thaa Sarak Bhut Khatarnaak Or Toty Photy Thee Itni Khubsurat Jagah Kaa Ye Hashar Humein Bhut Dukh Hu Raha Tha Agar Iss Jagah Ko Develop Kar Diya Jaye Tu Ya Kpk Ka Muree Ban Sakta Tha Hum Ny Itni Saree Flowering Safar Kay Shuro Mein Hee Dekh Li The Kay Hum Andaza Kar Saktay Thay Humaree Manzil Bhut Hee Haseen Hu Ge(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1211364 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.