Laptop Kuch Ki Zaroorat Nahi
Hai Balkay Computer Aur Kitabay Her Kisii Ki Zaroorat Hai
University Mai Laptop Scheme Kai Liae Form Jama Horahe Thai.Mai Nae Apni Friends
Ko Btaya K University Mai Laptop Diae Jae Gae.Sub Form Bharnay Kai Liae
Baakhushi Raazi Hogae.Hum Logo Nae Classes Nahi Li Kue Kay Notification Last Din
Hi Board Per Lagaya Tha.Wohi .Aakhir Kaar Pora Din Zaya Karnay Kai Baad Form
Jama Ho Hi Gaya Kuekay Department Mai Hazaar Sai Zaaid Ki Tadaat Mai Talba O
Talbaat Parhatay Hai.Allah Tera Shukar.Jama Karatay Waqt Dil Mai Aik Dua Thi K
Kaash Allah Talla Maira Naam Bhi Laptop Scheme Mai Aajae.Tou Kitna Maza Aajae
Gai List Ka Intizaar Buhat Kiya Laikin Allah Janay K List Kab Lag Kar Hatt Bhi
Gae... Buhat Sai Student Jo Phd , M-Phil Aur Highest Cgpr Kai Talba O Talbaat Ko
Diae.Yeh Natija Daikh Kar Achanak Mairay Dimagh Mai Kae Sawaalat Ujaagar Hogae
.Phala Sawaal Tou Yeh K Majority Student Jo Mphil Aur Phd Kar Rahay Hai Woh Sub
Achi Jaga Mulaazmat Kar Rahay Hai .Woh Tou Apni Half Salary Sai Bhi Laptop
Khareed Saktay Hai Aur Agar Na Bhi Kariday Tou Company Walay Apnay Employee Ko
Khud Provide Kartay Hai.Phir In Ko Dainay Ka Maqsad Kya Hai??Bhala Aisa Bhi
Mumkin Hai K Kue Shakhs M Phil Phd Karaha Tou Aur Is Ki Rassai Computer Tak Na
Ho.Yeh Tou Sawaal Hi Paida Nahi Hoskta.
Thosra Sawal Yeh Paida Hua K Agar Laptop Sirf Highest Cgpr Walo Ko Daitay Hai
Tou Woh Student Jo Kisi Bhi Wajah Sai Kisi Bhi Semister Zarra Sai Bhi Pechay Rah
Jatay Hai.Tou Woh New Technology Sai Kaisa Faida Uthae Ga?????Yehi Baat Soch
Rahi Thi K Mairay Zahan Mai Microsoft Kai Baani Bilgates Ka Aik Mashoor Jumla
Aya Woh Yeh Tha Kai. Mai Nae Zindagi Mai Kabhi Position Nahi Li Laikin Aaj Mairi
Hi Class Kai Position Holder Students Mairay Company Mai Mairi Mulazmat Kar Rhe
Hai....
Yeh Woh Sawaal Thai Jin Ka Mai Jawaab Talaash Kar Rahi Thi….
Paper Kai Din Kareeb Thai Humaray Aik Teacher Nai Humae Aik Asignment Dia Jo
Kitaab Aur Internet Ki Madad Sai Sab Ko Baanana Tha. Un Dino Maira Computer Mai
Windows Viruses Ki Wajah Sai Slow Hogae Thi Aur Mairay Pass Woh Kitaab Bhi Nahi
Thi. Jis Sai Mai Assignment Banao Phir Mai Nae Socha K Ghar Mai Tou Ban Nahi
Skta Lihaza Kal University Mai Hi Banaogae...Tou Mai Apnay Department Ki Library
Mai Gae Waha Takreebsan 6 Sai 7 Desktop Computer Proper Kaam Kar Rhe Thai.Laikin
Woh Computer Allah Ki Buhat Baari Naimat Hai Her Student Kai Liae.Khair Computer
Per Student Apna Kaam Kar Rahay Thay.Mai Library Mai Baithi Thi Waha Sai Book
Liae Important Point Per Nishaan Lagae.Computer Saaray Busy Thai Lihaaza Mai
Book Parhnay Lagae..Adhay Gantay Kai Intizaar Kai Baad Aik Computer Khali
Hua.Tou Phir Mai Nae Apna Assignment Mukammal Kiya..
Assignment Banay Kai Baad Mairay Dil Mai Aik Buhat Bari Kuwhaish Paida Hue.K
Kassh. .Kitna Acha Hota K Kuch Bacho Ko Laptop Dainay Ki Bajae Her Town Mai
Choti Choti Libraries Khulwa Daitay Jaha Per Zaida Nahi Sirf 7 Sai 8 Desktop
Computer Internet Ki Sahulaat Kai Sath Moujood Hotay..Desktop Computer Is Liae
Kuekay Laptop Kai Mukabaly Mai Zaida Paidaar Aur Saatay Hotay .Aur Kuch Aham
Kitabaay Jo 5 Grade Sai Bachelor Level Tak Parhae Jaati Hai Waha Mujood
Ho..Ilaqay Mai Jagah Government Dae, Government Ilaqay Kai Makeeno Kai Sath Mil
Ker Waha Ki Imaarat Aur Samaan Dalwaya A Jae.Aur Generator Ka Yaqeeni Intizaam
Kiya Jae.Kue Kae Loadsheading Ka Jo Buhraan Hai Is Say Students Ki Jaan Chuut
Jae.Kuekay Ilm Kai Shoaq Aur Raah E Ilm Mai Kue Buhaan Haill Na Hoskay. Aur
Kitaabay Bechlor Level Tak Ki Is Liae Honi Chahiae K Is Mahangae Kai Dour Mai
Koun Itni Mahangi Kitaabay Afford Kar Skta Hai!!!!!!!
Is Hi Liae Mairi Dil Mai Achanak Naja Nae Kue Yeh Kuwaish Paida Hue K, K Aisa
Kaam Hona Chahiae.Jis Sai Her Ameer Ghareeb, 5 Grade Sai Phd Student K Student
Faida Utha Sake. ..Sirf Makhsoos Student Kai Liae Nahi Hona Chahiae.Aur Humay
Yeh Baat Bh Yaad Rakhni Chahiae K Computer Kai Sath Sath Humae Zarorat Hai
Kitaabou Ki Humara Muashira Kitabou Sai Buhat Dour Hota Jaa Rahe Hai Taahum
Government Ko Chahiae Kai Her Ameer Ghareeb Barra Chota Zaheen Aur Kam Zaheen
Bacha Her Kisi Ko Her Waqt Ko Support Milae..Tak Kay Pakistan Ka Her Bacha Ilm
Dost Ban Jai.