Batagram Kay Bazaar Mein Bhut
Rush Tha Magar Sab Kay Sab Mard Thay Bhut Kam Khawateen Nazaar Aein Wo Bee Tambo
Numa Burqay Mein Har Jagah Naswaar Kay Stall Kaseer Tadaad Mein Mojudh Thay
Sabzee Ki Dukaano Mein Haree Bharee Sabziaan Ladhee Huein Thein Kay Dekh Kar Un
Ko Kacha Khanay Ka Dil Kar Raha Tha Khanay Peenay Ki Cheezon Kay Elawa Reahrion
Par Tarbooz Ready To Eat Ki Position Mein Thay Bhut Hee Kam Pason Mein Ye
Soghaat Achee Khasee Tadaad Mein Hum Nay Apnay Stomach Mein Undail Li Tarbooz
Thanda Or Meetha Tha Uss Par Kala Namak Uss Kay Taste Ko Qaitilana Bana Raha Tha
Bazaar Mein Construction Kay Material Ki Shops Bhut Zayda Tadaad Mein Thee
.Tarbooz Or Kahway Nay Mil Kar Humaray Pait Mein Saazish Karna Shuro Kar Dee
Thee Dono Kaa Shore Sharaba Hum Baa Asaani Sun Saktay Thay Sohail Ko Bhut Ranjh
Tha Kay Batagram Mein Paan Par Naswaar Ko Foqiat Dee Gaee Thee Hum Nay Uss Ka
Shikwa Over Ruled Kar Dia Har Jagah Ki Apni Saqafat Huty Hay Har Pathan Ka
Naswaar Par Pora Haq Tha Kalim Bola Khan Saab Fer Ye Naswaree Saqfat Aap Kab Say
Apnaa Rahay Hu Hum Foran Naik Or Masoom Say Ban Gaye Bahi Meray Bahi Bhut Zalim
Hein Wo Boltay Kam Or Thokhtay Zayda Hein Iss Liye Hum Ye Saqafat Offord Nahi
Kar Saktay Raastay Mein Niaz Mil Gaya Ju Dono Hathon Or Ek Munh Say Gajhron Par
Hamla Awar Hu Chucka Tha ,,Navid Bola Niaz Bahi Banda Ban Khargosh Na Ban Itni
Gajhrein Kha Kar Laal Naa Hu Jana Koi Behnsaa Naa Pechay Par Jaye .Mosam Bhut
Munasib Thaa Na Thand Na Garmee .Batagraam Bazaar Wali Sarak Trafic Kay Liye
Bhut Chotee Paar Rahee Thee Kuch Trafic Police Walay Iss Ko Control Kar Rahay
Thay Magar Fer Bee Wo Baar Baar Jaam Hu Jaty Thee Logh Sehatmand Or Bhut Active
Thay Aaroo( Peach) Bahut Wafer Miqdaar Mein Moujhdh Tha Hum Nay Zaad E Rah Kay
Tor Par Aaroo Khareed Liye Sohail Nay Paan Ki Adamdastiyabee Ki Waja Say Bhut
See Chaaliaa Khareed Li Uss Kaa Mood Off Hu Gia Tha Kalim Nay Niaz Say Gajhrein
Lay Kar Apnay Toph Jasay Dhanay Walay Munh Mein Daal Kar Unn Kaa Kachoomar Karna
Shuro Kar Dia Navid Bola Khan Saab Fruit Tu Lay Lia Kuch Dry Fruit Bee Huna
Chaiye Hum Nay Kaha Han Qun Nahi Budget Abhee Tak Control Mein Hay Chanay Or
Monghphali Lay Lo Navid Nay Humein Asa Ghoora Jasay Wajhpai Nay Musharaf Ko
Ghoora Tha(Jaaree Hay)