Saffar shumaal kay (episode 40)

(hukhan, karachi)

Raat Kay 12 Bajh Rahay Thay Baadlon Ki Waja Say Chaand Sitray Ghaieb Thay Ya Fer Short Leave Par Thay Khunkee Bar Janay Ki Waja Say Hum Nay Shirt Kay Oper Ek Upper Pehan Lia Tha Jis Say Jisam Ko Din Bhar Ki Thakan Kay Baad Qadray Araam Aya Tha. Din Bhar Kay Pehnay Huay Jutay Mozay Utaarnay Kay Baad Sleepers Mein Bhut Sakoon Sa Feel Hu Raha Tha Paon Mein Lagaye Gaye Talkum Powder Ki Waja Say Paron Ki Unghlian Bhut Araam Mein Thein Paon Din Bhar Humara Bojh Uthaye Phertay Rahay Thay Batagrami Saagh Kay Karway Pan Ko Hum Kahway Say Kam Karnay Ki Koshish Kar Rahay Thay 1301 Square Km Par Phali Hui Wadee Ubh Khamosh Hu Chuckee Thee 2005 Kay Sarvay Kay Mutabiq Iss Ki Abadee 361000 Thee Yahan Ki Local Zubaan Pashtu Say Ubh Kaan Ahista Ahista Manoos Hu Rahay Thay Raat Humara Qiyaam Ek Sastay Say Hotel Mein Thaa Magar Hotel Bhut Acha Tha Bas Asa Laghta Tha Kamray Mein Har Cheese Kici Daramay Ya Film Kay Set Ki Hu Jabh Koi Sath Walay Kamray Mein Chalta Pherta Tha Ya Koi Chath Par Ata Jata Tha Tu Asa Laghta Tha Kay Ye Sab Kaam Humaray Kamray Mein Hee Hu Rahay Hein Kahway Kay Baad Niaz Nay Sab Say Pehlay So Janay Ki Ijazat Manghee Hum Nay Uss Ko Free Cigret Ki Offer Ki Magar Navid Kay Tewar Dekh Kar Uss Ny Offer Qabool Karnay Say Inkaar Kar Dia

Bazaar Say Ubh Bee Shore Ki Kam Huty Hui Awaazein Aa Rahein Thee Hum Hotel Ki Chath Par Aa Gaye Batagram Chaar Soo Ahista Ahista Magar Pori Tra Andhray Ki Chadar Urh Chucka Thaa Wadee Shiaed Ubh Thak Chuckee Thee Wo Araam Karna Chaty Thee Takay Kal Subah Tazaa Dumm Hu Kar Anay Walon Mehmano Kaa Isteqbaal Kar Sakay Hawaa Ki Tazghee Fer Say Barna Shuro Hu Gai Thee Hum Wadee Kaa Nazaara Kar Kay Neechay Apnay 5 Star Kamray Mein Wapis Aa Gaye Jis Cheese Ko Bee Hath Lagaya Jata Wo Hath Mein Aa Jaaty Niaz Humaray Kamray Mein Aa Gia Humaree Sawalia Nazrein Dekh Kar Bola Mein Bore Hu Raha Hun Hum Bolay Yhan Hi Aa Jao ,,,Kalim Bola Or Hum Sab Ko Bee Bore Karo ,,,,Wo Chaaron Tash Khelnay Lagay Humein Ye Ata Hi Nahi Tha Layhaza Hum Nay Apnay Kuch Notes Likhay Ajh Kaa Kharch Likha Or Batagram Ki Wadee Say Neend Ki Wadee Mein Chalay Gaye(Jaaree Hay)
 

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255037 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.