Buzurgon Se Suna Keh ALLAH
Tabarak Wa Ta'ala Ne Kam O Baish 18,000 Qism Ki Makhlooqaat Paida Farmai Hein
Jinmein Insaan Bhi Shamil Hey. Yani Insaan Ek Makhlooq Hey Iss Tarah Baqi Doosri
Makhlooqat Kam O Baish 17,999 Huwein.
Jo Doosri Makhlooqat Hein Unmein Yeh Sab Shamil Hein: Farishtey, Hoorein,
Ghilmaan, Jinnat, Dozakh, Aasman, Zameen, Chand, Sitarey, Suraj, Pani, Hawa, Aag,
Barish, Badal, Drakht, Paharr, Samander, Darya, Janwer, Fishes, Aabi Makhlooqat,
Hashraatul Arz, Aur Na Janey Kitney Qism Ki Makhlooqaat Hein ALLAH Pak Ki Paida
Kerda, Aur Wo Tamam Cheezain Bhi Jokeh Zameen Key Upper Hein Ya Zameen Ke Nechey
Ya Zameen Key Ander, Aasman Ke Upper Hein Ya Aasman Key Nechey Ya Satoon Aasmano
Ke Darmian, Sab ALLAH Ki Makhlooqaat Hein.
Jin Cheezon Ko Ham Ne Dekha Hey Wo Bhi Aur Jin Cheezon Ko Ham Ney Nahi Dekha,
Jin Key Barey Mein Ham Jaantey Hein Aur Jinkey Barey Mein Ham Nahi Jantey. Isi
Tarah Samandaron Key Ander Behisaab Makhlooqat Hein Jin Ke Bare Mein Bohot Kam
Hi Log Jantey Hein Magar Wo Bhi Hein Aur Wo Bhi ALLAH Pak Ki Makhlooqaat Hein.
Gharz Keh ALLAH Ta'ala Ki Jitni Bhi Makhlooqat Hein Un Sab Ko ALLAH Ta'ala Ne
Kun Keh Ker Paida Farmaya…….Kun Arbi Zaban Ka Lafz Hey Jiske Mani Hein Ho Ja (Fa
Yakun) Pas Ho Gayeen……. Kun Aur Fayakun Yeh Bhi Sirf Hamarey Samjhaney Key Liye
Hein Warna ALLAH Pak Tau Sirf Jo Chhtey Hein Wo Ho Jata Hey Aur Jaisa Chahtey
Hein Waisa Hi Hojata Hey. Wo Iss Kul Kaenaat Key Khaliq O Maalik Hein, Yeh Ham
Musalmano Ka Eeman Hey.
ALLAH Arbi Zaban Ka Lafz Hey, Urdu Mein Bhi Ham ALLAH Hi Kehtey Hein, Khuda;
Farsi Zaban Ka Lafz Hey, Bhagwan; Hindi Mein Kehtey Hein. English Mein God
Kehtey Hein; Yeh 3 Lafzoon Ka Abbreviation Hey; Yani:
G For Generator, (Bananey Wala, Kis Ko Bananey Wala? Iss Kul Kaenaat Ko
Banaewala,)
O For Operator, (Chalaney Wala, Kis Ko Chalaney Wala? Iss Puri Kaenaat Ko
Chalaney Wala,)
D For Destroyer (Tabaah Kerney Wala, Kis Ko Tabah Kerney Wala? Iss Kaenaat Ko
Tabah Kerney Wala, Yani Qiamat
Berpa Kerney Wala,)
Yeh Unka Bhi Eemaan Hey Keh Jinhon Ney Lafz God Banaya Keh Dunya Ka Bananey Wala,
Dunya Ko Chalaney Wala Wohi ALLAH Hey Aur Ek Roz Wo Iss Puri Kaenaat Ko Khatam
Kerdeyga Yani Qiamat (Doomsday) Aajaey Gi Aur Phir Hisaab Kitaab Hoga Aur Jannat
O Dozakh Key Faisley Honge.
ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ney 17,999 Makhlooqat Ko Kun Keh Ker Ya Apney Taur Per
Chah Ker Banaya, Magar Hazrat-E-Insaan Ko ALLAH Tabarak Wa Ta'aala Ney Kun Keh
Ker Nahi Banaya…Insaan Ko ALLAH Pak Ney Apney Hathon Sey Banaya…Yeh Bhi Sirf Aur
Sirf Hamarey Samjhaney Key Liye Hey Keh Apney Hathon Sey Banaya Warna ALLAH Pak
Tau Jism Sey Bhi Pak Hein. Quran Pak Mein Iska Zikr Mojood Hey Aur Musalman Ka
Her Bacha Janta Hey Keh ALLAH Pak Ney Insaan Ko Mitti (Matti) Sey Banaya…ALLAH
Pak Ney Apney Ek Muqarrab Farishtey Ko Bhaij Ker Zameen Sey Matti Mangwai Phir
Uska Khameer Tayyar Fermaya Aur Phir Hazrat Adam Alaihis Salam Ko Paida Fermaya,
Jab Sarey Aazaa Purey Hogaey Tau Us Mitti Key Jism Mein Apni Rooh Phoonki.
Rooh Kia Hey…..Rooh Amr Hey ALLAH Pak Ka. Abhi Purey Jism Mein Rooh Puri Tarah
Dakhil Bhi Nahi Huwi Thi Keh Hazrat Adam (A.S.) Ney Uthna Shuroo Kerdia…Tau Kaha
Gaya Keh Insaan Bara Jald Baaz Hey.
Jari Hey……………………