BESHAAM Kaay Bazaar Mein Bhut
Rush Hu Raha Tha Petrol Pump Kay Pas Trafic Jam Tha Garion Ki Awaazon Ki Waja
Say Kaan Pari Awaaz Bee Sunaiee Nahi Dey Rahee Thee Logh Shopping Mein Masroof
Thay Har Tra Ki Dukaanein Mojhdh Thein Kapron Ki,Bartano Ki Sabzee Murghee Jutay
Medical Store Sab Kuch Khula Hua Thaa Hum Nay Bazaar Kay End Par Ek Hotel Mein
Room Lainay Kay Liye Ghuss Gaye Kuch Bahao Tao Kay Baad Apnay Budget Kay Aien
Mutaabiq Humein 2nd Floor Par Darya Kay Rukh Kamra Mil Gaya Yeni Hotel Kay Aqab
Mein Darya Bah Raha Tha Samaan Rakhnay Kay Baad Hum Sab Load Shadding Say Pehlay
Naha Laina Chahtay Thay Abhee Hum Charon Ghusal Say Faarigh Hee Huay Thay Kay
Niaz Bee Aa Gia Us Nay Kaha Kay Hotel Walay Nay Counter Kay Samnay Hee Uss Ki
Raat Ka Bandobast Kar Dia Hay Navid Or Us Nay Taye Kar Lia Tha Kay Kahnay Kay
Bad Wo Or Niaz Hotel Ki Chhat Par Jaa Kar Cigrete Noshi Farmaien Gay ,,,,Ajh
Yahan Bee Hum Jasahan Manaien Gay Dono Mil Kar Dhuwaan Uraaein Gay.,,,Niaz Bath
Room Mein Ghuss Gia Hum Khush Hu Gaye Iss Liye Nahi Kay Wo Saaf Suthraa Hu Jaye
Ga Balkay Hum Yun Khush Thay Kay Hum Sab Ki Tra Wo Bee Thanday Pani Kaa Maza
Chakhay Uss Ki Kapkapaty Awaazon Nay Humray Jazb E Inteqaam Ko Kafi Taqwiyat
Pohanchaiee Hum Teeno Nay Shorts Or Tee Shirts Pehan Li Humaray Sleepers Nay
Paon Kay Bojh Ko Kafee Halka Kar Dia Thaa Sir Se Caps Bee Utar Gaein Thee Jis Se
Sir Bee Halka Hu Gia Tha Hotel Zayda Khushnumaa Naa Tha Magar Famlies Bee Hotel
Mein Moujhdh Thee Jis Se Kuch Ronaq Thee Magar Yahan Har Koi Poray Din Kay Safar
Ki Thakaan Ka Shikaar Tha Hotel Kay Fans On Thay Hum Bee Kamray Mein Fan On
Chore Aye Thay Takay Room Mein Freshness Or Cooling Hu Jaye Magar Ubh Beshaam
Kafee Thanda Hu Chuckaa Thaa Qun Kay Counter Par Bathay Sahib Nay Bataya Tha Kay
Din Garam Tha Punjab Kee Siah Famlies Bazaar Mein Shopping Mein Masroof Thein
Hum Dukaano Ko Dekhtay Huay Agay Bar Gaye China Ka Maal Dukaano Mein Bhura Hua
Tha Zarorat Ki Har Chese Bazaar Mein Dastiyab Thee(Jaaree Hay)