saffar shumaal kay(epiesode 54)

(hukhan, karachi)

BESHAAM Ki Raat Khamoshi Se Har Cheese Ko Andhray Ki Cahdar Urhaa Rahee Thee Darya Kaa Pani Bas Safied Jhaagh Ki Manind Nazar Ah Raha Tha Han Uss Ka Shore Uss Kay Mood Ka Pata De Raha Tha Hum Apnay Hotel Kay Roof Top Par Aah Gaye Thay Ubh Wadee Charon Taraf Se Humaree Ankhon Kay Hasaar Mein Thee Lohay Ki Safaid Kursian Humaree Tashreef Ki Muntazar Thee Navid Or Niaz Mein Pollution Phalnay Kaa Muqabla Shuro Hu Chucka Tha Wadee Din Bhar Kay Shore Sharabay Sey Tangh Aah Kar Ubh Sakoon Mein Aah Kar Sakoon Baant Rahee Thee Samnay Ki Janib Bazaar Ki Ronaq Apnay Uroojh Par Thee Magar Siahun Se Zyda Tadaad Maqaami Loghun Ki Thee Ounchee Neechee Dukanein Samaan Se Bhuree Huein Thein Shangla Kay Route Se Ek Sarak Sawat Kay Khazakhala Ko Jaa Rahee Thee Yeni Yahan Se Sawat Bhut Qareeb Tha Hum Uss Rastay Par Safar Kar Chuckay Thay Sarak Ki Halat Ache Nahi Thee Magar Raasta Khubhsorat Or Green Tha Masjid Se Azaan Ki Awaaz Anaa Shuro Hu Gai Thee Apnay RABH Ko Ajh Ki Akhree Haazree Denay Kaa Waqt Aa Chucka Tha Hum Nay Walk Shuro Kar Dee Thee Taqay Saray Muscles Apni Jagah Par Aa Jaein Mosam Bhut Piara Hu Gia Tha Naa Hee Garmi Naa Hee Sardee Humein Yaqeen Tha Humara Dinner Subah Se Pehlay Hee Hazam Hu Jaye Ga Chath Par Mojudh Wahid Bulb Jal Utha Ye Logh Tash Mein Masroof Hu Gaye Hum Nay Jaib Se Kaghaz Or Qalam Nikala Or Notes Likhnay Lagay Din Bhar Kaa Kharcha Bee Likha Ju Kay Bhut Zarori Tha Werna Wpsee Salon Baad Bee Hu Saktee Thee Or Hum Ye Offord Nahi Kar Saktay Thay Tash Mein Jazbaat Anay Lagay Thay Kalim Or Navid Ki Awazein Ana Shuro Hu Gein Thee Ye Time Humaray Bee Jamalo Kay Role Kaa Tha Hum Nay Jaa Kar Jalty Par Teil Wala Kaam Kiya Or Shore Mein Har Lamha Izafa Humri Kamiyaabi Kay Shaadinay Baja Rha Tha Humein Apni Ki Gai Bhut See Dostana Insults Yaad Anay Laghee Jis Nay Humaray Inteqaami Jazbay Ko Bhut Taqwiyat Dee Humein Pora Yaqeen Tha Kay Ye Khel Mukamal Hunay Se Pehlay Hee Hangamay Ki Nazar Hu Jaye Ga Magar Niaz Nay Humaree Umeedon Par Pani Pher Dia Hum Nay Suabh Kici Bee Qisam Kay Achay Se Nashtay Ki Rok Tham Ki Mansoba Bandee Kar Lee(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253926 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.