Ufff Asar Kaa Time Uss Par
Glacier Ka Thanda Pani ,,,,,Humaray Jisam Kay Saray Jal Tarangh Bajh Uthay Abee
Tu Sar Or Munh Par Hee Zara Saa Pani Dala Tha Kay Sammar Nala Sar Char Kay
Bolnay Laga Ankhon Ki Saree Thakan Iss Neelghun Pani Nay Utaar Dee Shave Kay
Baray Huay Baal Or Bee Sakht Hu Gaye Kalim Pani Se Asay Munh Hath Dhuu Raha Tha
Jasay Uss Iss Ki Thandak Ki Zara Barabar Parwa Nahi Hu Navid Ki Daraaz Zulfein
Pani Or Uss Kay Beech Mein Baar Baar Aa Rahee Thein Sohail Uss Ki Zulfein Thaam
Kay Khura Hu Gia Jis Se Navid Nay Glacier Kay Pani Se Theek Tara Say Insaaf Kia
Magar Uss Ki Thandak Nay Uss Kay Charon Tabaq Roshan Kar Diye Thay Dasu Sey
Samar Nalay Tak Kaa Safar Zara Dry Kisam Kaa Tha Magar Darya Aap Ka Sath Nahi
Chorta Jis Se Khubsurat Manazer Ap Kay Sath Sath Dourtay Rehtay Hein Siah Ko Iss
Se Bar Kay Koi Lalach Nahi Huta Bas Koi Ek Khubsorat Manzar Ju Uss Kay Din Bhar
Ki Kamaiee Ban Jata Hay Pahaar Kici Baland Himat Insaan Ki Tra Ounchay Thay Siah
Ko Wo Iss Kay Bawajood Kay Har Siah Ko Usss Ki Paslion Or Jisam Kay Bahut Se
Hison Ko Kaat Kaat Kar Rasta Diya Jata Hay Magar Pher Bee Wo Siah Par Zayda
Ghusa Nahi Huta Balkay Apnay Seenay Par Sawaar Kar Kay Khubsorat Jheelon Daryaon
Tak Pohancha Deta Hay..Har Zakham Seh Laita Hun,,Mein Dukhee Hu Kar Bee Muskara
Laita Hun,,,,,Asmaan Se Batein Karta Hun Fer Bee Jhuk Kay Salaam Karta Hun.Dasu
Tak Kaa Rasta Beshaam Kay Baad Qadray Ek Saa Tha Jabh Kay Chitar Plane Ki Thndak
Siah Ko Inaam Kay Tor Par Milty Hay Pahaar Zayda Tar Sabzay Se Beniaaz Thay
Magar Pher Bee Minerlas Marbles Kay Khazanay Liye Huay Thay Resham Ki Road Kaiee
Dafa Ounchaiee Par Neechay Dekhnay Sey Serf Ek Lakeer Ki Manind Nazar Aty Hay
Jasay Koi Prep Class Kay Bachay Nay Kali Pencil Bay Tarteeb Andaaz Mein Copy Par
Chalaiee Hu Ya Pher Koi Asee Haseena Jis Kay Balon Ki Chutiyaa Nagin Ki Tra Hu.
Fer Jasay Hee Garee Pahar Sey Neechay Aty Hay Tu Iss Ka Asal Chahra Nazar Ata
Hay Fwo Kay Jawaan Or Engineers Iss Kay Make Up Mein Hamesha Tan Man Dhan Sey
Lagay Huay Hutay Hein Mosam Ki Sakhtee Paharon Ki Bulandee Darya Ki Munh Zor
Mojhein Kuch Bee Tuu Un Kay Eraadon Ko Kamzoor Nahi Kar Patay Iss Mein Koi Shak
Nahi Fwo Nay Iss Resham Ko Reshmee Bana Rakha Hay .Bhut See Gaarian Buses Cars
Jeeps Loading Trucks Or Logh Samar Nalay Par Aa Kar Rukay Huay Thay Khana Chai
Thanda Pani Or Glacier Kay Pani See Laba Labh Bhura Hua Samar Nala Itni Zor Se
Garajh Baraas Raha Tha Kay Kaan Paree Awaaz Sunaiee Naa Dety Thee.Agar Koi Iss
Mein Ger Jaye Tu Pata Nahi Lamhon Mein Kaha Se Kaha Pohanch Jaye Uss Ki Tofaani
Raftaar Uss Kay Ghazab Kaa Saaf Bata Rahee Thee Nalay Kay Kinaron Par Banay Huay
Hotel Loghun Say Bhuray Huay Thay Har Umar Kay Logh Bachay Borhay Sab Yahan Ruk
Kar Nalay Ko Salamee Dey Rahay Thay Uss Kee Tezo Tund Mojhun Ko Hirat Or Khof Se
Dekh Rahay Tha(Jaaree Hay)