Saffar Shumaal Kay(Episode 67)

(hukhan, karachi)

Daal Fry Or Matar Ki Sabzee Nay Saray Din Ki Bhook Ko Pal Mein Samaiet Kay Ghaieb Kar Dia Thanday Pani Or Salaad Ju Kay Kam Thee Magar Us Mein Maza Bahut Thaa Chai Kay Cup Ko Hath Mein Pakar Kar Hum Sab Samar Nalay Ki Janib Rukh Kar Kay Garam Chai Or Thanday Nazaray Ka Maza Lainay Lagay Iss Mein Koi Shaq Nahi Thaa Chand Ki Chandni Mein Samar Nala Jadu Saa Kar Raha Tha Ju Kay Har Musafer Kay Liye Bilkul Free Thaa Magar Ye Nazara Unn Kay Liye Tha Jin Ki Tabiat Mein Masty , Husla ,Tarangh Or Jin Kay Paas Khudh Kay Liye Time Thaa .Hum Nay Plan Kar Rakha Tha Kay Ek Raat Iss Samar Nalay Kay Kinaray Guzarein Gay Magar Yhan Ki Thandak Nay Humein Faisla Yahan Tak Badlnay Kay Liye Majhboor Kar Dia Kay Hum Isi Hotel Mein Koi Sasta Saa Kamra Lay Lein Gay Or Niaz Ko Sulla Diya Jaye Ga Hum Sab Nalay Kay Oper Mojhudh Lakree (Wooden) Terace Par Raat Jagh Kar Guzaarein Gay Kamra Bhut Kam Pason Mein Mil Gaya Tha Khanay Kay Liye Tu Ye Hotel Bhut Acha Tha Magar Wesay Rehaiesh Kay Liye Iss Ko Driver Hotel Kaha Jaaa Sakta Tha Ju Loading Garion Par Lambhay Route Kay Safar Par Hutein Hein Wo Yahan Raat Bhar Jisam Ko Araam Denay Kay Baad Subah Fer Sey Apnay Aap Ko Poray Din Kay Liye Resham Kay Hawalay Kar Detay Hein.Chai Asee Thee Kay Jasay Garam Pani Mein Dodh Or Subah Se Ghisee Hui Paty Kaa Cheenta Maar Diya Gia Hu,,,,Yaar Driver Tu Ye Chai Nahi Peetay Hun Gay Navid Nay Apni Raye Ka Ezhaar Kiya ,,Hu Sakta Hay Khanay Kii Time Ki Waja Sey Rush Hu Ga Tu Chaloo Chai Bana Raha Hu,,,,,,,,Sohail Ki Baat Par Kalim Bola Yaar Fer Pasay Bee Kam Lay Na Pasaa Pora Maza Adhoora Kalim Ko Halkeee Chai Hazam Nahi Hu Rahee Thee,,,Yaar Chai Ko Choro Nazaray Par Nalay Par Concentrate Karo Hum Nay Qisa Kahatam Kar Dita Fer Chai Kahein Pechay Reh Gai Or Samar Nala Jeet Giya,,,Hum Nay 4 Chairs Lay Kar Hotel Kay Taqrreeban Open Dinning Haal Sey Baher Aa Gaye Ubh Hum Nalay Kay Bhut Qareeb Aa Gaye Thay Niaz Nay Kal Ka Plan Pocha Fer Cigret Kay Mazay Lainay Laga (Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1206234 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.