Hum Koh E Himaliya Ki Shaan
Nangha Parbat Ki Yatra Ko Ja Rahay Thay Humaree Jeep Ko Himaliya Nay Dekha Ya
Nahi Pasand Kiya Ya Nahi Hum Iss Se Beniaz Thay Sochun Mein 26600 Ft Ka
Nanghaparbat Tha Jis Kay Base Camp Mein Parian Utarty Thein Jis Kay Pas Chotee
Chotee Jeehlein Thein Jis Ka Glacier Raat Din Shore Machata Rehta Tha Jis Kay
Charon Taraf Haryaali Thee Jis Kay Logh Ashiq Thay Jis Par Logh Geet Likhtay
Thay.Koh Paemaon Kay Liye Nangha Parbat Hamesha Sey Ek Challenge Ki Tra Hay Wo
Insano Ko Apni Privacy Mein Zayda Khush Amdeed Nahi Kehta Iss Liye Kai Kho Paema
Ko Uss Nay Apnay Seenay Sey Utha Kar Neechay Patakh Diya Kuch Tu Mil Gaye Magar
Bhut Sey Iss Kay Eshq Kay Maray Huay Thay Ajh Tak Iss Kay Wajood Kaa Hisa Ban
Kar Iss Ki Kabi Naa Peghalnay Wali Burf Ka Hisa Ban Gaye Iss Liye Iss Pahaar Kaa
Nick Name Killer Mountain Hay Magar Is Naam Sey Khof Nahi Ata Magar Jabh Isay
Qatil Pahaar Pukara Jaye Tu Khuf Ki Lehar Poray Jisam Mein Dournay Lagh
Jaty.Gilgit Baltistan Kay Diamer District Mein Mojudh Ye Pahar Or Iss Ki Peak
Pori Duniya Kay Koh Pemaon Ka Ek Khabh Hay Kehtay Hein Nanghaparbat Ka Ju Face
Fairy Meadows Se Dekhta Hay Issay Korakhiot Face Kehtay Hein Iss Liye Resham Kay
Bridge Ka Rai Kot Naam Par Gia Jis Bridge Par Hum Nay Resham Ko Bye Bye Kaha Tha
1895 Se Koh Pemaa Iss Nangha Parbat Kay Eshq Mein Gareftaar Hein Mummery Sab Sey
Pehlay Iss Kay Maghribi Hisay Say 20000 Ft Tak Pohanch Paya Tha.1930 Say Nangha
Parbat German Koh Pemaon Ki Nazar Mein A Gia Wo Himaliya Kay Iss Sapooot Kay
Pechay Par Gaye German Koh Pema Weli Merkl 1932 Mein Nangha Parbat Kay Liye
Himaliya Ki Wadion Mein Ghoom Raha Tha Ye Wo Logh Thay Jin Ki Waja Say Nangha
Parbat Duniya Ki Nazar Mein Aya Magar Ebtada Mein Iss Ki Sakhtion Ko Bardasht Na
Kar Sakay Or Ju Zinda Bach Gaye Wo Zayda Tyaree Or Huslay Kay Sath Wapis
Aye.Humaree Jeep Glacier Kay Atay Huay Pani Kay Sath Sath Oper Sey Oper Kay
Safar Par Rawaan Dawaan Thee.(Jaaree Hay)A