Usma-Tul-Hasna

(Waseem Khan, Hyderabad)

UZMA-TUL-HASNA

Assalamu Alaikum Dostho,
.
*Ek Sahabi The! Wo Rasoolullah{S.W.S} Ko 2din Dikhaye Na Diye.
Rasoolullah{S.W.S} Ne Kaha Ke- 'Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?'
Ek Shakhs Nikle Aur Unke Ghar Gaye Aur Pucha Ke- 'Wo Kaha Hai?'
Unki Biwi Ne Kaha: 'Wo 2din Se Ghodo Ke Astabal Me Rote Hue Baithe Hai, Ap Jakar Samjhaiye Unhe'
Jab Unke Paas Pohche Aur Pucha Ki 'Tumhara Kya Mu'amla Hai? Kyu Ro Rahe Ho?'
Tou Unohne Kaha Ke: Rabbul Izzat Ne Quran Ki Ayat Nazil Kardi Ke "Jo Log Rasoolullah{S.W.S} Ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ki Kahi Unke Amal Gaarat Na Ho Jaye!"
[Surah Huzrat, Ayat:1-2]
Aur Meri Aawaz To Bohat Unchi Hua Karti Thi Aur Maine Tou Rasoolullah{S.W.S} Se Aise Tez Aawaz Me Kayi Baar Baat Ki, Lihaja Mera Amal Tou Gaarat Hogaye! Ab Tum Chale Jao! Mai Tou Halaaq Aur Barbaad Hogaya, Mujhe Chor Do Isi Haal Me."
¤Dostho, Ye Dar Rakhte Thy Sahaba Ke- Rasoolullah{S.W.S} Ki Maujudgi Me Awaz Bhi Buland Hojaye Tou Wo Yeh Tasawwur Karte Ke Amal Gaarat Hogaye, Hala Ki Ye Ayath Baadme Nazil Hue. Uske Baad Kabhi Unhone Tez Awaz Me Baat Nahi Ki.
Yeh Rasøolullah{S.W.S} Ka Adab Hai Ke- Aapki Aawaz Se Unchi Aawaz Na Karna Hai. Aapke Kadam Se Kadam Aage Na Badhana Hai.
¤Lekin Hamara Mu'mla Tou Ye Hai Ki:
Zindagi Ke Tamam Shobe, Kadam Aur Aawaz Tou Dur, Har Mua'mle Me Har Baar Khilaaf Jakar Usko Apna Aizaaz, Sha'ar, Alam Samjhte Hai, Subha Se Lekar Shaam Thak, Shadi Se Lekar Mout Tak Sabme Khilaafwarji Aur Kahe Thy Hai Ki Ham Aashique-E-Rasool Hai (Subhaan-Allah)
.
Dostho, Hame Chahiye Ki Zindagi Ke Tamaam Shobo Me Rasoolullah{S.W.S} Ko Apna ‪#‎Usma_Tul_Hasna‬ Maane Aur Ap{S.W.S} Ki Har Sunaatho Aur Amal Ko Lazim Aur Farz Jaane.
.

Allah Hamsab Ko Amal Karne Ki Taufiq Atha Farma [A'ameen]
 

Waseem Khan
About the Author: Waseem Khan Read More Articles by Waseem Khan: 7 Articles with 19246 views Myself Mohammad Waseem Khan
B.tech Mechanical Engineering Student
Interesting in READIND ISLAMIC BOOK
.. View More