Jab Koi Insaan Iss Dunya Sey
Doosri Dunya Mein Muntaqil Hojata Hey Yani Uska Inteqaal Hojata Hey Tau Jism Sey
Rooh Nikelney Key Saath Hi Uska Nama-E-Aamaal Bhi Band (Close) Hojata Hey.
Agar Merney Key Baad Us Shakhs Ko Koi Moqa Naik Aamaal Kerney Ka De Dia Jaey Tau
Bhi Wo Naik Aamaal Uskey Nama-E-Aamaal Mein Likha Nahi Jata.
Lekin Dunya Mein Kiye Janey Waley Kuchh Kaam Aisey Hein Keh Merney Key Baad Bhi
Unka Faida Marney Waley Ko Pohunchta Rehta Hey Aur Jab Tak Dunya Mein Wo Aamaal
Hotey Rahein Ge Merney Waley Ko Unka Faida Pohonchta Raheyga (Jaisa Keh
Ulma-E-Kiram Ne Bataya).
Wo Aamaal Yeh Hein:
NO: (1) NAIK AULAAD:
Jab Merney Waley Ki Naik Aulaad Uskey Dunya Sey Janey Key Baad Uske Liye
Dua-E-Maghferat Kerti Hey Aur Quran Shareef Ki Tilawat Kerkey Usko Bakhashti Hey
Ya Koi Aur Naik Kaam Kerti Hey Ya Unki Taraf Sey Sadqah Wa Khairaat Kerti Hey,
Unki Taraf Sey Koi Masjid Banwadi Ya Masjid Ki Taameer Mein Hissa Lelia, Masjid
Mein Safein Bichhwadein, Pankhey Lagwadiye, Wuzoo Khana Banwadia, Latrine
Banwadia, Electricity Of Bill Apney Zimmey Le Lia, Masjid Key Deegar Akhrajaat
Apney Zimme Leliye Aur Yeh Dua Ki Keh Ya ALLAH Inn Sab Aamaal Ka Sawab Mere
Waldein, Dada Dadi, Nana Nani Aur Deegar Rishtey Daron Ko Pohncha Dejeye Tau
Yaqeenan Inka Sawab Un Logo Pohonchker Rahey Ga Likein Shart Yeh Hey Keh Wo
Rizq-E-Halal Sey Ho.
NO: (2) KOI KITAAB LIKH JANA:
Koi Musalman Dunya Se Janey Se Pehley Koi Aisi Kitaab Likh Gaya Keh Jo Musalmano
Key Bhaley Ki Huwi, Koi Islami Kitaab Jiskey Parhney Sey Muslaman Apney Deen Ki
Taraf Mail Huwey, Unhon Ney Burey Kaam Chhordeye Aur Achhey Kaam Kerney Lage,
Namazein Parhna Shuroo' Kerdein Aur Gunahon Sey Taib Hogaey, Tau Yeh Kitaab Bhi
Jab Tak Parhi Jati Rahey Gi Merney Waley Key Nama-E-Aamaal Mein Unka Sawab Likha
Jata Rahega,
NO: (3) SADQA-E-JAARIA:
Koi Muslaman Apni Zindagi Mein Jaisa Keh Ooper Likha Keh Koi Aisa Kaam Kergaya
Keh Jiskey Faidey Logon Ko Uskey Merney Key Baad Bhi Pohonch Rahey Hein, Chahey
Wo Faidey Musalman Uthaain Ya Ghair Muslim Ya Jaanwer, Charind Parind, Haiwanaat
Nabataat O Jamadaat, Gherz Keh ALLAH PAK Ki Bhi Makhlooq Unn Sey Faidey Utha'aey,
Merney Waley Key Nama-E-Aamaal Mein Uska Sawab Likha Jata Raheyga.
ALLAH PAK Ham Sab Muslamano Ko Bhi Taufeeq Ata'a Ferma Ain Keh Ham Bhi Koi Aisa
Kaam Merney Sey Qabl Ker Ja Ain Keh Hamara Nama-E-Aamaal Bi Kabhi Band Na Ho
Hamesha Usmein Naikian Likhi Jati Rahein. Agar Ham Koi Kitaab Nahi Likh Saktey
Tau Chhotey Chhotey Mazameen Aur Maqalajaat, Articles Waghera Likh Saktey Hein
Lekin Wo Sahih Hon Aur Sawab Key Chakkar Mein Koi Ghalat Baat Likh Di Tau Yeh
Nuqsaan Ki Baat Hey Aur Jab Tak Log Us Ghalat Baat Per Amal Kertey Rahein Ge
Uska Gunaah Aapkey Nama-E-Aamaal Mein Likha Jata Rahega, Isi Tarah Jo Log Buri
Aulaad Ya Kharab Kitabein Likh Ker Merjatey Hain, Jab Tak Wo Parhi Jati Raheingi
Aur Log Gumrah Hotey Raheinge, Likhney Waley Key Nama-E-Aamaal Mein Uska Gunah
Likha Jata Rahey Ga.
Isliye Chaheye Keh Naik Aulaad Chhori Jaey, Achhi Kitaab Likhi Jaey Aur Naik
Kamon Mein Investment Ki Jaey,
ALLAH Pak Ham Sab Ko Amal Ki Taufeeq Ata'a Ferma Ain, Aameen.