Fairy Meadows Ki Shaam Ki
Khunki Bata Rhee Thee Kay Hum Nangha Parbat Kay Mehmaan Hein Ja Baja Colorful
Tent ,Lush Green Valley Ghazab Manzar Tha Siah Ki Ankh Mein Hamesha Kay Liye
Mehfooz Hu Janay Wala Ju Iss Ki Ankh Mein Hamesha Kay Liye Dil Ki Dhrakan Ki
Tara Dhrakta Rehta Hay.Har Taraf Serf Nature Thee Insan Kay Qadmon Ki Tadaad
Itni Kam Thee Kay Abhi Nature Apnay Roop Mein Numaya Thee Werna Loghun Kay
Hajoom Is Nature Ko Khamosh Ya Budnuma Kar Saktay Thay Ap Mano Na Mano Magar
Faza Mein Har Traf Taazghi Thi ,,Jasay Koi Nai Naveeli Dulhan Apnay Singhaar Ko
Baar Baar Taza Kar Dety Hu,,,,Uss Ki Ankh Mein Sey Sharam Or Haya Rukhsuat Hu
Kay Naa Dety Hu,,,,Uss Ki Kalaiee Ki Chooriaan Jaltarangh Bajatee Hun,,,,,Uss
Sharmeli Dulhan Ki Khanakty Hansi Jaltarangh Ki Tra Bajhty Rehty Hay,,,Wo Itni
Gul E Lalla Hay Fer Bee Janay Qun Wo Itna Sajhty Sanawarty Hay.Fairymeadows Mein
Pariyan Kaa Basera Tha Hum Nay Mehboob Se Pocha Bahi Pari Sahiba Se Kab Tak
Mulaaqaat Mumkin Hay ,,Mehboob Humaree Shararat Samajh Gia ,,Samanay Zara Faslay
Per Moujhdh Guest House Ki Tarz Par Banay Hotel Ki Taraf Eshara Kar Kay Kaha
,Wahan Kuch Austerlian Parian Utree Hein,,,Sohail Kay Kaan Khuray Hu Gaye Hum
Dono Kay Qareeb A Gia,,,Hum Nay Sohail Ko Tangh Karnay Kay Liye Mehboob Ko
Khamosh Rehnay Ka Eshara Kiya,,,Sohail Nay Muskara Kar Kaha ,,,Sholay Kay Jay Ko
Tu Vero Kay Bachon Ko Kahani Sunani Hee Hay Fer Kia Pata Veero Kay Bachay
Austerlian Bee Hu Saktay Hein Na Bahi,,,,Yaar Wo Mar Jata Hay Jabh Kay Mera Asa
Koi Plan Nahi,,,,Sohail Nay Kaha Bahi Ye Tu Pehlay Sochna Tha Na,,, Wesay Khan
Saab Marna Tu Ap Ko Hay Hee Magar Gabar Kay Hathon Nahi Hum 3 Hee Teraa Murder
Karein Gay...Yeni Izat Ki Mout Meray Naseeeb Mein Nahi Hay,,,Hum Nay Masnoi
Fiqarmandi Sey Kaha.Hawa Chalna Shuro Hu Gai Thee Jis Se Sardee Ka Ehsaas Bee
Barnay Laga ,,,,,Wadeee Ko Nazar Laghhna Shuro Hu Gai Thi,,Andehra Barnay Laga
Tha Dour Kay Manzar Humaree Ankh Se Oujhal Huna Shuro Hu Gae Thay.(Jaaree Hay)