Hamara Mazhab

(Maha, Lahore)

Wase Tu Hamara Mazhab Buhat Asaan Hai Jub Hum Dosrey Mazahib Ki Taraf Nigah Dora K Daikhtey Hain Tu Buhat Asaan Aur Porskoon Lagta Hai Lakin Ager Ab Daikha Jae Tu Hum Logo Nai Khud Is Ko Apney Lie Mushkil Bana Lia Hai Masal K Toor Pai!Namaz Ko Kis Tarha Parha Jae Ahle Hadees K TareeqaeSa Ya Ahle Soni K Tareeqa Sai Firqay Aur Phir Un Per Larai K Kon Sa Firqa Bahter Hai .Cast System, Jahaiz, Perda Se Ijtanab, Dairi Rakhney Pai Itraaz, Buhat C Bateen Hain Jin Ko Hum Loog Zeerey Bahas Laitey Hain. Lakin Ager Hum Ko Aik Sacha Aur Khara Muslman Banna Hai Tu Bus In Chund Batoon Per Amal Ker Lain Tu Mera Khiyaal Hai Kafi Ho Ga.
1-Din Mai 5 Time Namaz
2-Fazool Bat Cheet Sa Ijtnab
3-Dosro K Haqooq Ka Khiyaal

Ager Hum Din Mai In Batoon Ka Khiyaal Rakh Lain Bina Kisi Firqa Ki Larai Main Pare Bina Tu Mera Khiyaal Hai K Aik Acha Muslim Banney K Lie Kafi Ho Ga.
 
Hum Logo Ne Shadi Biyah Ko B Buhat Mushkil Bana Dia Hai Fashion Keh La Ya Aisa System Bana Dia Hai K Bhari Bharkam Jahaiz Larki Sath Lai K Ai Aur Shadi Cast Mai Karni Hai Cast K Bahir Tu Jaise Achoot Ho Aise Zahniyat Hai Logo Ki Jab K Hum Sub Muslim Hai Tu Is Bat Ka Faraq Karney Ki Akhir Zarurt Kia Hai? Kia Hamare Lie Itna Janna Kafi Nahi K Hum Muslim Hai Naik Aur Deendaar Hai.

Yai Wo Sub Bateen Hain Jo Hamare Mazhab Main Shamil Ho Gai Hai Aur Hum Nai Apney Seedey Sadey Aur Asaan Mazahb Ko Khud Hi Mushkil Bana Dia Hai Ab Ye Hum Pai Hai K Hum Apney Halat Ko Waqt Rahtey Sambhaal Lai K Is Se Pahley K Hum Ko Pachtana Parey ALLAH Hum Per Raham Kare Ameen.

Maha
About the Author: Maha Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.