Janghlot Bee Jagh Raha Tha Or
Garmi Sey Laal Peela Hu Raha Tha Dalda Kay Dabay Mein Glacier Ki Barf Walay
Thanday Pani Nay Piaas Ko Or Barha Dia Dalda Ka Pani Say Bahra Daba Hum Mil Kay
Dakaar Gaye,,,Ye Bee Khan Saab Ki Sazish Hay Itni Deir Sey Pani Pilaya Wo Bee
Thanda Or Meetha Kay Ubh Hum Khana Kam Kahiein Kalim Nay Sazish Ko Bey Naqqab
Kia Fer Magarmach Ki Tra Qun Pee Raha Tha Navid Nay Kalim Ki Soch Ko Nazar
Andaaz Kartay Huay Kaha ,,Salay Ka Munh Tu Hay Hee Magarmach Jasa Pait Mein Tank
Bee Magarmach Jasa Hi Hay Sohail Nay Kalim Ko Sambhalnay Ka Moqa Nahi
Dia,,,,Khaye Ga Pher Bee Hum Sab Say Zayda Hum Nay Ek Jumlay Mein Kalim Ki
Khushkhuraaqi Ko Nazar Laghanay Ki Koshish Ki Janghlot Ka Din Garam Tha Or
Khamoshi Ka Ghalba Tha Qun Kay Abhi Koi Musafir Bus Hotelon Kay Baher Mojudh Naa
Thee Hotel Khulay Huay Thay Main Bazaar Mein Zayda Tar Driver Hotel Thay Qun Kay
Yahan Musafir Therna Pasand Nahi Kartay Qun Kay 30km Kay Faslay Par Gilgit Kaa
Shaer Tha Hum Loghu Nay Khanay Kay Rate Liye Jis Se Andaza Hua Kay Yahan
Mehanghaiee Aroojh Par Thee Hum Nay Khanay Ka Order Dia Or Saye Mein Hotel Se
Baher Baith Gaye Samnay Darya Bah Raha Tha Sher Darya Apnay Juban Per Tha Alam
Bridge Samnay Nechay Nazar Aa Raha Tha Skerdu Janay Wali Gaariaan Road Ko Chore
Kay Neechay Alam Bridge Kay Liye Utaar Raheein Thein Bridge Kafi Eham Tha Ek
Garee Ek Time Mein Guzar Sakty Thee Iss Liye Police Walay Ek Taraf Ki Garee Ko
Chortay Thay Fer Dosray Janib Ki Gaarian Alam Bridge Par Sey Guzar Saktein Thein
Daal Bay Maza See Thee Sabzi Be Bas Asay Hee Pakaiee Hui Thee Sab Se Mazay Ki
Chese Pani Tha Bas Hotel Walay Glacier Ki Baraf Mein Sey Ghaas Nikalna Bhool
Gaye Thay.Dhoop Mein Ubh Bee Bahut Tezi Thee Humaree Nazrein Alam Bridge Par Sey
Guzarnay Wali Tarfic Par Jumee Huein Thein.Navid Or Niaz Nay Apnay Huqay Yeni
Cigret Khareeday Sohail Nay Supari Type Cheeson Say Jaib Ko Bhar Lia Kali Nay
Zor Say Dakaar Mari Niaz Nay Paresshan Sa Munh Bana Kay Kaha Kalim Bahi Arram
Sey Dakaar Maru Land Slidding Na Hu Jaye(Jaaree Hay)