Bachpan Main Kuch Bachey
Sharati Hotey Hain Aur Kuch Khamoosh Tabba Apni Duniya Main Mast Rahney Waley
Aur Kuch Wo Jo Apni Duniya Main Dosro Ko B Shamil Ker Laitey Hain Tu Mera Shamar
B Un Logo Main Hota Hai Jo Apni Duniya Mai Dosro Ko B Shamil Ker Laitey Hain Ab
Wo Chahey Ya Na Chahey Hum Ko Kia?
Tu Aj Main Ap Ko Apney Bachpan K Aik Pul Main Lay K Jati Hon Umeed Hai K Ap Ko
Mairi Ye Chuti C Shararat Maza Dai Gi.
Tu Main Ap Se Apney Bachpan Ka Aik Waqia Share Karti Hon Jis K Barey Main Jub
Main Bari Hoi Tu Muje Adraak Howa K Jub Baat Hoi The Tub Tu Mai Chup Rahi The
Lakin Ab Jub Yaad Karti Hon Tu Ye Waqia Bara Dilchasp Lagta Hai Tu Howa Kuch U K
Aik Din Main Room Main Baith K Perh Rahi The K Kuch Time Yuhi Sastaney Ki Gharaz
Sai Main Uthi Aur Balkoni Main Ja K Khari Ho Gai Ab Jo Hamara Ghar Tha Us K
Neechey Shops The Jo Karaya Per Di Hoi The Aur Corner Wali Shop Aik Uncle Aur Un
K Baitey Chalatey Hain Ab Mai Waha Jub Khari Hoi Tu Neechey Wohi Shop Waley
Uncle Kharey Thay Un K Ser Pai Baal Nahi Thay Ab Main Soch Rahi The Insaan Balo
K Bina Kaisa Lagta Hai Ye Sochtey Sochtey Marey Zahan Main Pata Nahi Kia Samaya
K Main Ander Gai Aur Pani Se Bhara Howa Jug La K Uncle Per Gira Dia Jub Pani
Gira Dia Tub Muje Apney Karnamey Ki Sangeeni Ka Ahsaas Howa Jub Uncle Ne Aik Dum
Se Ghoor K Uper Daikha Main Ne Jaan Lia Ab Bacho Mairi Khair Nahi Lo Ji Main B
Kia Kum Ho Main B Fata Fut Bed K Neechey Chup Gai Uncle Ne Bhai Ko A K Shakait
Lagai Tu Wo Muje Dhondney Lug Gae Lekin Kafi Kushish K Baad Jub Main Nahi Mili
Tu Bahir Chaley Gae Tub Mairi Saans Mai Saans Ai Aur Jub Shaam Ko Bhai Ne Baz
Purs Ki Tu Main Ne Masoom C Shakal Bana K Kaha Bhai Muje Tu Nahi Pata Aur Aj Tu
Mairi Tabiyat B Theek Nahi The So Sara Din Main Tu Soti Rahi Tu Bhai Ko Uncle
Pai Ghusa Aney Laga K Un Ko Adat Ho Gai Hai Her Time Hamare Bacho K Peechey
Parey Rahtey Hain Hahahha Tu Ye Hai Mare Bachpan Ki Aik Choti Aur Masooom Si
Shararat.