Hunza Ki Raat Thandi Thee Hasan
Humara Intezaar Kartay Kartay Apnay Ghar Ju Qareebi Gaon Mein Tha Chala Gia Tha
Hum Uss Kay Bataye Huay Guest House Mein Ju Bazaar Say Hut Kar Ek Qareebi Gaon
Mein Tha Apnay Samaan Samaiet Pohanch Chukay Thay Uss Guest House Ko Bilkul Ghar
Ki Tarz Par Banaya Gia Tha Ya Yun Keh Lein Kay Ghar Ko Guest House Bana Dia Gia
Tha Hum Uss Kay Main Gate Say Andar Gaye Tu Ek Lawn Say Jis Mein Phal Or Phool
Dono Moujdh Thay Iss Mein Sein Say Guzray Tuu Asa Laga Jasay Hum Kici Park Mein
Aa Gaye Hun .Hunza Valley Jagh Rahee Thee Magar Bazaar Say Dour Hunay Ki Waja
Say Yahan Bahut Khamoshi Thee Itni Khamoshi Kay Aap Nature Say Apnay Aap Say
Baatein Kar Saktay Thay Chaand Khubh Chandni Bakher Raha Tha Washroom Mein Jatay
Hee Thanday Pani Nay Welcome Kia Hum Iss Welcome Kay Adee Hu Chuckay Thay Pani
Bilkul Gadhla Ya Yun Keh Lay Kay Kala Saa Hu Raha Tha Humaray Elawa Guest House
Mein Koi Orr Nahi Tha Humein Ek Bara Saa Room Dey Dia Gia Tha Hum Kitchen Mein
Gaye Ek Bartan Mein Pani Garam Kia Or Pani Kay Bafrfeelay Pan Ko Kam Kar Kay
Naha Lia Ye Hee Amal Sab Nay Dhuraya ,,Yaar Pani Mein Miti Saaf Nazar Aa Rahi
Hay Magar Jabh Kulli Ki Tu Zara Bee Feel Nahi Hui Jabh Kay Mein Soch Raha Tha
Daant Mein Miti Kickachaye Gee Magar Asa Nahi Hua Navid Nay Khushgawaar Mood
Mein Ye Raaz Khula ,,Yar Khanay Kia Karna Hay ,,Kalim Nay Fiqarmandi Sey
Kahaa,,,Mein Keh Raha Thaa Rastay Mein Rukk Kay Kha Lo,,,,,Sohail Nay Shikayti
Andaaz Mein Kaha ,,,Paiiii Mein Tu Kha Kay Aon Ga Werna Mujhay Saree Raat Neend
Nahi Aani,,,Yaar Niaz Sahi Tu Ja Kay Kha Aa Humara Lay Aa ,,Sohail Nay Khush Hu
Kay Kaha ,,,Nai Pai Mein Akaila Nahi Jana Pata Nahi Bazaar Kis Traf Or Kitna
Dour Hay Gaon Mein Bahut Andera Or Khamoshi Hay Kici Pani Kay Nala Mein Para Hun
Ga Ap Logh Kahu Gay Salan Mein Pani Bhut Hay,,,Niaz Ki Baat Par Hum Sab Hans
Paray,,,Yaar Jis Nay Humein Andar Anay Dia Or Room Ki Key Dee Thee Pata Nahi Wo
Kaha Chala Gia Hay(Jaaree Hay)