As Salam Walikum All,
(Note: May Quran Ki Ayatoo Ka Matllab Likh Raha Hoon Word To Word Nahi Hai Agaar
Kisi Ko Aytaraaz Hoo Tu Mujh Ko Mrhnaat Karni Paray Gi Per May Aap Ko Quran Say
Ayat No Kay Saath Hawala Day Doo Ga Mukhtasir Meri Baat Pori Parhnay Kay Baad Jo
Ghalat Lagay Wo Bataay.).
Aaj Hum Muslmanoo May Kafi Firqay Hain Aur Wajha Sirf Itni Hai Kay Hum Logo May
Maloomat Ki Kami Hai. Jis Ko Dekhoo Quran Aur Hadith Say Apnay Aap Ko Sahi
Saabit Karwanay Per Tulaa Betha Hai Aur Hum Souchtay Hain Kay Ye Sahi Hongay Ya
Aur Kabhi Wo Sahi Hongaay. Bahtreen Tareeka Hai Kay Hum Khud Hi Islam Ki
Maloomat Karaay Tu Kafi Haqeeqat Khul Jay Gi. Quran Kay Apnay Alfaaz Hain Kay Ye
Utara Giya Hai Un Kay Liya Jo Naseehat Hasil Karaay. Ek Jaga Per Hai Kay Ye
Kitaab Sarasaar Hidayaat Hai Un Kay Liye Jo Parhaazgar Hain. ALLAH(S.W.T) Hum
Logo Ko Sahi Rasta Dekhay Ameen.
Aisay Kai Jaghaoo Per Likha Hai Quran May Kay Jis Nay Is Kitaab Ko Choor Kar
Dosri Kitaabo Say Hidayaat Hasil Karnay Ki Kohsish Ki Wo Saab Khasaaray May Hai.
1, Tu Pehla Nazariya Yahi Hona Chahiya Kay Hum Har Cheez Ko Quran May Dekhay Aur
Quran Ko Sahi Samjhna Hai Tu Hadiths Ka MutALLAH Karaaen.
Dosri Khaas Baat Jo Quran May Aai Hai Wo Hai Kay Muslmanoo Apass May Ek Hokay
Rahoo Apaas May Firqay Maat Banao Ek Aur Jaga Per Hai Kay Tum Yahood Nisara Ki
Tarha Choti Choti Batoo Per Larna Jagarna Mat Warna Tum Bhi Un Ki Tarha Barbaad
Hojaoo Gaay. Aur Ya Ayaat Tu Bohat Hi Mashoor Hai Kay Aay Logo ALLAH(S.W.T) Ki
Rasi Ko Mazbooti Say Thamloo. Ek Aur Ayaat Hai Jis May Samjhaya Gaya Tha Kay Wo
Tum Say Kahaay Gaay Kay Wo 4 Thay Aur Kuch Kahay Gaay Wo 5 Thay Keh Do Kay Ginti
Tu ALLAH(S.W.T) Hi Janta Hai Tum Ko Sirf Baat Samjhni Chahiya Kiya Kaha Ja Raha
Hai. (Is Ayaat Ko May Baad May Sahi Lafzoo Kay Saath Likhoo Ga. Apnay Andaaz May
Mukumal Likhi Hai).
Asaal Cheez Hai ALLAH (S.W.T) Ka Farmaan Ko Pora Karna Usko Samjhna. Aab Bataaye
Mujh Ko Konsa Firqa Sahi Hai ?
Aab Ek Aur Baat Jo Aaj Tak Sawaal Hai Mayray Zahaan May Aur Aap Saab Say Pouchta
Hoon.
Kay Hamaray Darmiyaan Jo Masllay Hain Kiya Un Masloo Ko Qabar, Hashar Ya
Qiyamaat Kay Roz Hum Say Poucha Jaay Ga?
Jaisay Nabi Kareem (S.A.A.S) Noor Thay Kay Nahi ?
Wo Gaib Ka Ilim Jantay Thay Kay Nahi ?
Is Kisim Ki Baat Karnay Say Kiya Hamara Martaba Bulland Hojay Ga? Ya Qiyamaat
May Baghir Hissab Kitaab ALLAH(S.W.T) Hum Say Razi Hojaay Ga?
May Phir Kahoo Ga Kay Quran Aur Hadith Ka MutALLAH Karaayen Us Point Ko Note
Karayen Jo Qiyamaat Kay Roz Qabar May Ya Hashar May Hoga. ALLAH(S.W.T) Hum Saab
Ko Hidayaat Daay Ameen.
Aur Aap Saab Say Durkhowaast Hai Apnay Aap Ko Sirf Muslman Kahaay. Quran Aur
Hadiths Ko Parhayen Nabi Kareem (S.A.W.S) Kay Baad Koi Nabi Nahi Hai Tu Sirf
Muhammad(S.A.A.S) Ki Hi Baat Ko Mannay Hosakay Tu Akhri Khutba Muhammad(S.A.A.S)
Ka Zaroor Parhay.