|
brother may nay taqreeban sub kay hi points parhay hain magar aap or uzma sahiba or chund aik nay hi Islam kay daira ma rehtay huay tajaweez paish ki hain ..waisay her kissi nay apni soch kay mutabiq behtareen likha hay jis ki tareef hum her aik kay mazmoon per comment bhi kerdiya .. or aap as usual behtareen tajaweez paish ki hain ..... baishuk Islami qawaneen per amal kerkay hi hum Pakistan kay aaj or anay walay kal ko behtareen bana saktay hain magar masla firqa wariyath ka hay agar aik jamath points accept keray gi to doosri deny .... or aap bhi or may bhi jantay hain qom ko aik lari may pirona mushkil nahin to aaj kal kay halath ko daikha jai to namukin lugta hay .... lakin wohi baath agar Malik Kul cha hay to rastay ki mushkilath pal bhar may mit bhi sakti hain .... Allah hum sub ko seedhi rah per chalai or Pakistan or Islam kay liyai kuch ker guzarnay ka hosla ata karay ... ameen
|
By:
farah ejaz,
Aaronsburg
on
Aug, 13 2016
|
|
0
|
|
|
|
100% agreed with you brother ...Jazak Allah HU Khairan Kaseera
|
By:
farah ejaz,
Aaronsburg
on
Aug, 14 2016
|
0
|
|
|
|
sister,
jazakAllahu khairan aap k input ka.
asal mai aik musliman ki asal tu hamaara deen hai, baqi baatein tu sirf dunya guzaarne ki mukhtalif tareeqay aur shuqhal hain, maslan agar aik shakhs doctor hai, ya koi engineer hai ya koi skill jaanta hai, ya even taxi driver hai waghera ye tu sirf us rizq ka tareeqah hai is ka ye matlab tu hargiz nahi hai k ham apne deen ko pas-e-posht daal dain, isi liye ham aaj nakaam hain q k ham ne apne deen ko pas-e-posht daal dia hai. tu jab deen ko na seekha jae ga tu koi bhi tom aur harry akar hamei deen k naam par gumrah kar dain ge.
jahan tak mukhtalif firqa parasti hai tu is ka islam se koi ta'luq nahi hai, tahqeeq k darwaazay har aik k liye khulay hain, is liye tahqeeq se kisi ka aik nuqta par kisi aalim ka aik ray pesh karna ghalat nahi hai aur isi baat ko hamei awaam ko samjhana chayhe. laikin agar woh tahqeeq mai ghalat ho tu us ko chohr do.
albatta masala tab hota hai jab takfirriyat, aur ikhwaniyat aur khurooj jaise awaamil ulamah mai ajein aur phir us ki base par woh apne sun-ne waalon mai ghalat afkaar ko parwaan charhain. laikin is ka hargiz ye matlab nahi hai k deen k mukhtalif shu'bahaat ko na discuss kiya jae aur na un par amal kiya jae.
isi liye taraqqi aur urooj ka raasta wohi rahe ga k imaarat deen k gird bano aur dunya ko is mai adjust karo. jab k log imaarat dunya ki banaate hain aur deen ko us mai wal ayazu billah apne nafs k mutabiq ajust karne ki koshish karte hain.
bahar haal, Allaah ham mai apne deen se muhabbat daalay aur haq ko haq aur baatil ko baatil kahne ka shu'oor paida farmae, ameen.
|
By:
manhaj-as-salaf,
Peshawar
on
Aug, 14 2016
|
0
|
|
|
|
|
|
|
|
barakAllahu feek, Allah hamei aqal de k ham apne aap ko aur gird-o-nawah ko khud badal lain aur jab ham aisa kar lain ge tu Allaah jalla wa 'ala hamaray ooper saalih hukkam le ae ga jo ye points zuroor laago karein ge, ameen.
is ziman mai Allaah ne qur'an mai farmaaya: إِنَّ اللَّـهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنفُسِهِمْ
mafhum: Allaah kisi qoam ki haalat nahi badalta jab tak k woh apne nafs (apni haalat) ko na badal lein. (surah r'ad 13 ayah 11)
isi tarha is se related aik iqtibaas imaam ibn al-qayyim rahimahullah (al-mutawaffa 752 hijree) ne bhi farmaya jo aap yahan par zuroor parh lein: http://www.hamariweb.com/articles/article.aspx?id=50752
Allaah hamei samaj, faham aur amal ki tawfeeq de aur is ko phailaane ka jazba bhi, ameen.
|
By:
manhaj-as-salaf,
Peshawar
on
Aug, 13 2016
|
|
0
|
|
|
|
|
|
bohoth bohoth behtareen janab ..... Jazak Allah HU Khairan Kaseera
|
By:
farah ejaz,
Aaronsburg
on
Aug, 11 2016
|
|
0
|
|
|
|
|
Please Wait Submitting Comments...