Jinsi Be Rah Rawi - III & Final

(Chiraghdeen, Karachi)

Zaani Ki Dunya Mein Saza:

Ukhrawi Aitebaar Sey Tau Zina Ek Qabeeh Fail Hey Hi Lekin Iss Baat Ko Yaqini Bananey K Liye Dunya Mein Yeh Burai Nah Phailey Aur Asmat O Iffat Jaisi Aqdaar Ma’ashrey Mein Farogh Pa’ain, ALLAH Ta’ala Ney Edunya Mein Bhi Iski Saza Sakht Muqarrar Ki Hey; Surah Al-Noor (Aayet No. 2) Mein Irshad-E-Bari Ta’ala Hey; “(Agar 4 Gawah, Gawahi Dain Tau Ghair Shadi Shuda)Zani Mard Aur Zani Aurat Her Ek K Liye 100, 100 Korey Saza Hey Aur Tumharey Dil Mein Inkey Barey Mein ALLAH (S.W.T.) Key Deen Per Amal Kerney Mein Koi Narmi Nahi Aani Chahi’ye Agar Tum ALLAH Per Aur Yom-E-Aakherat Per Eemaan Rakhtey Ho; Aur Chahiye Keh Inko Saza Daitey Waqt Ehle-Eemaan Ka Ek Giroh Hazir Rahey (Aur Daikhey). Jabkeh Koi Shadi Shuda Merd Ya Aurat Agar Zina Karey Tau Inkey Liye Sha’riyet Mein Sangsaar Kerneki Saza Hey Aur Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Ney Iss Saza Ko Jaari Bhi Fermaya (Muttafiq Alaih), Fi Zamana Choonkeh Islami Nizaam Qaim Nahi Hey Iss Liye Badqismati Sey Sharm-O-Haya Key Zabton Aur Inn Saza’oon Per Amal Deraamad Nahi Ho Raha, Aur Iska Anjaam Hamarey Saamney Hey Aur Iss Aitebaar Sey Ham Bhi ALLAH Key Haan Mujrim Hein.

Is Hawaley Sey Hamarey Kerney Ka Kaam Yeh Hey Keh:

1. Khud Aisey Kaamon Sey Apney Aap Ko Bacha’ain;
2. Apney Gharon Mein Islami Terz-E-Ma’ashrat Ko Farogh Dein;
3. Satr-O-Hijaab Key Islami Ahkamaat Jo Asmat-O-Pakdamani Ko Yaqeeni Banatey Hein, Per Amal Karein;
4. Music, Dance, (Raqs-O-Suroor) Aur Mobile/Tv/Internet Key Ghalat Istemaal Sameet Wo Sari Tafreehaat Jo Jinsi Jazbaat Ko Ubharti Hein, Sey Perhaiz Karein;
5. Makhloot Terz-E-Ma’ashrat Sey Ijtenaab Bertain,
6. Apney Saath Saath Doosron Tak Bhi Iss Dawat Ko Pohncha’ain Takeh Wo Bhi Aakherat Mein Azaab Sey Bach Sakain,
7. Ek Islami Ma’ashrah Qaim Kerney Key Liye Jiddo Johod Mein Amli Taur Per Hissa Lain, Kiyoon Keh Islam Qaim Honey Key Baad Hi Shariyet Per Mukammal Taur Per Amal Ho Sakta Hey Aur Koi Jamayet Jo Aapki Nazar Mein Iss Maqsad Key Liye Koshish Ker Rahi Hey Us Mein Shamooliyet Ikhtiyaar Karain,

ALLAH Pak Sey Dua Hey Keh Wo Hamein Jinsi Be-Rah Rawi Sey Bachney, Pakeeza Islami Ma’ashra Qaim Kerney Aur Poorey Deen-E-Islam Per Amal Kerney Aur Usey Nafiz Kerney Ki Jiddo Johod Kerney Ki Taufeeq Ata’a Ferma’aiy, Aameen.
 

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196269 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.