Ek Wali ALLAH Key Bohot Sey
Mureed They Lekin Wo Inn Mein Sey Ek Mureed Ko Doosrey Muridon Key Muqabley Mein
Ziadah Pasand Kertey They, Jiski Wajah Sey Doosrey Mureed Uss Mureed Sey Hasad
Kerney Lagey They. Iss Baat Ki Ittelaa’a Walai ALLAH (Unkey Peer O Murshad) Ko
Bhi Hogai. Unhon Ney Ek Din Apney Tamaam Muridon Ko Ek Ek Murgha Dia Aur Takeed
Ki Keh Isko Wahan Jaker Zibah Kerna Keh Jahan Tumhein Koi Na Dekhey?
Her Mureed Ney Koshish Ki Keh Wo Kisi Aisi Jagah Jaker Murgh Ko Zibaah Karey Keh
Jahan Usey Koi Dekh Na Sakey, Chunacha Thori Dair Baad Sab Mureed Apna Apna
Murgha Zibah Kerkey Ley Aa’ey Lekin Woe K Mureed Keh Jis Sey Sab Hasad Kertey
They Wo Murghey Ko Baghair Zibaah Kye Huwey Ley Aaya. Ab Tamaam Mureed Apas Mein
Batein Kerney Lagey Keh Hamarey Peer Sahib Jisko Sab Sey Ziadah Chahtey They Aaj
Uski Haqeeqat Saamney Aajaeygi Aur Peer Sahib Ki Nazron Mein Uski Ehemmiyet
Khatam Hojaeygi, Lekin…….
MUDDAI LAAKH BURA CHAHEY, TAU KIA HOTA HEY
WOHI HOTA HEY, JO MANZOOR-E-KHUDA HOTA HEY
Peer Sahib Ney Us Mureed Sey Poochha Keh Sab Log Apna Apna Murgh Zibaah Kerkey
Laaey Hein Magar Tumhein Kia Huwa Keh Tum Apna Murgh Sahih Salim Leker Aagaey,
Zibaah Nahi Kia, Kia Tumhein Koi Aisi Jagah Nahi Mili Keh Jahan Tum Murgha
Zibaah Ker Letey?
Us Mureed Ney Jawab Dia Keh Ji Haan Waqei Mujhey Koi Aisi Jagah Nahi Mili Keh
Jahan Koi Dekhta Na Ho, Mein Jahan Bhi Gaya ALLAH Ki Zaat Wahan Mojood Thi,
Isliye Mein Apna Murgh Zinda Salamat Wapas Le Aaya Hoon.
Peer Sahib Ney Doosrey Muridon Sey Kaha Keh Mera Yeh Mureed Tum Sab Per Foqiyet
Ley Gaya Aur Isi Liye Yeh Mujhey Ziadah Pasand Hey Keh Yeh Her Waqt Mushahidaye
Haq Mein Laga Rehta Hey.
FAEDAH:
HASAD, Itni Khatarnaak Ruhani Beemari Hey Keh Haasid Apni Hasad Ki Aag Mein
Jalker Apni Dunya Bhi Tabah Kerta Hey Aur Aakhirat Bhi Aur Usko Kuchh Hasil Bhi
Nahi Hota, Hota Wohi Hey Keh Jo ALLAH Chahta Hey Aur Jis Sey Hasad Kia Jaraha
Hey Uska Kuchh Bigarta Bhi Nahi Hey; Yeh Ek Aisi Aag Hey Keh Jis Mein Insaan
Khud Hi Bila Wajah Jalta Rehta Hey Aur Saath Mein Apney Nama-E-Aamaal Ko Bhi
Kala Kerta Rehta Hey, Hasad Kerney Waley Ko Na Sirf Yeh Keh Kuchh Hasil Nahi
Hota Balkeh Wo Apni Nekian Bhi Berbaad Kerta Hey.
Yaad Rakhiye…Is Kaenaat Ka Sab Sey Pehla Hasid…Sheytaan Tha Aur Sab Sey Pehley
MEHSOOD (Jis Sey Hasad Kia Ja’ey) Hazrat Adam Alaihis Salam They Keh Jin Sey
Sheytaan Ney Hasad Kia Unko Di Janey Wali Izzat Us Sey Berdaasht Na Hoi Aur
Usney Hukm-E-Elahi Ko Nazer Andaaz Kia Jis Per Uski Tamaam Ibadat Jo Keh
Farishton Sey Bhi Ziadah Thi Za’ey Hogai Aur Wo ALLAH Pak Ki Nazron Mein Mardood
Hogaya, Iss Ek Hukm Ko Na Manney Aur Hasad Kerney Per Uski Ibaadat Uskey Kaam Na
Aai.
Ab Hasad Kerney Waley Zara Thandey Dil Sey Sochain Keh Wo Kis Key Bataey Huwey
Raastey Per Chal Rahey Hein, Kia Sheytaan Insaan Ka Dushman Nahi? Agar Hey Tau
Apney Dushman Ki Raah Per Chal Ker Ham Kis Ko Khush Ker Rahey Hein? Kis Qader
Hairat Ki Baat Hey Keh Ham Waisey Tau Sheytaan Ko Apna Dushman Samajhtey Hein
Lekin Uski Ghulami Kerkey Usko Khush Bhi Ker Rahey Hein…Sheytaan Sey Nafrat Bhi
Aur Uski Pairwi Bhi; Yeh Ajeeb Dorangi Chaal Hey.
ALLAH PAK Ham Sab Musalmano Ko HASAD Sey Mehfooz Ferma’ain Aur Islami Taalimaat
Per Amal Ki Taufeeq Ata’a Fermaein Aur Doosrey Musalmano Ko Bhi Amal Per Laaney
Key Silsiley Mein Unper Bhi Mehnat Karein, Jo Deen Ka Sahih Ilm Hamein Maloom
Hey Wo Doosron Ko Bhi Bataein Takeh Wo Bhi Amal Karein Aur Jab Koi Musalman
Aapkey Kehney Per Amal Per Aajaeyga Tau Jitna Sawaab Usko Amal Kerney Per
Mileyga Tau Utna Hi Sawaab Aapko Bhi Uskey Amal Kerney Ka Miley Aur Aapka Apna
Amal Uskey Alawa Hoga; (Wa Ma Alaina Illal Balaghul Mubeen).