Musalman Urat Ka Parda

(Zubaida Mohammad, Makkah Mukarram)

As Salam Alaikum
Sab Musalman Bhai Behno Ko Salam. Parda Jo Aurto Ka Asli Gehna Hy Wo Aaj Kal Kahi Kahi Nazar Ata Hy.Hamari Piyari Behno Ko Kiya Hogaya Hy Kiu Aap Es Dunyaa Ko Dekhti Hy.Akharat Kiu Bhol Gai Hy.Ye Dunya Sirf Kuch Palo Ki Hy Jo Hy Wo Sirf Akhrat.Jo Hamesha Rahegi.Hamare Piyare Nabi S.A.W Ne Hame Parde Ka Hukum Diya.Kiu K Yahi Hame Es Dunya Ki Buri Nazar Aur Fitno Se Bachata Hy.Parda Hamare Liye Hamari Sabse Kimti Dolat Hy Agar Ye Chor Diya To Samjho Jannat Chordi.ALLAH Aur Uske Nabi Ne Jo Kaha Hy Sach Mano Wahi Hare Liye Behtar Hy.

Mene Dekha Hy K Aksar Aurte Ye Fiqr Karti Nazar Ati Hy Ke Kese Kapre Silwaye.Jo Sab Se Alag Ho Mehnga Ho Achi Botik Se Ho Ye Fikr Nahi Karti Ke Aaj Ki Namaz Na Chot Jaye. Aisi Kahi Bate Hy Jo Karna Cahti Ho Par Kiya Karu Koi Sunne Wala Nahi.ALLAH Ne Kaha K Parda Karu.To Aaj Kal Parda Khatam Hota Jaraha Hy.ALLAH Ne Kaha K I.Baru.Aurte Na Baye Wahi Aaj Kal Choti Choti Bachiyan Bhi I Baru Banati Hy.ALLAH Ne Kaha K Aisa Koi Kapra Na Pehno Jisse Behayai Chalke Par Aaj Fioshon K Liye Aurte Behoda Se Behoda Kapre Pehenti Hy.

Hamare Nabi Kareem S.A.W Ne Kaha Hy Meri Ummat Sab Ummato Se Achi Ummat Hy.Kiya Waqai Hum Sab Se Achi Ummat Hy.Hame Apne Nabi Ki Zuban Ka Man Rakhna Cahiye Aur Unki Sunnat Ke Mutabik Zindagi Guzarni Cahiye.Ab To Phone Par Net Par Asani Se Larka Larki Dost Ban Jate Hy.Ghanto Bate Karte Hy.Hum Kiu Ye Bhol Rahe Hy Ke Ye Sub Shetani Chakkar Hy.Hame In Se Bachna Cahiye.Ye Donya Hamari Aazmaish Hy Es Ka Phal Hame Aakhrat Me Milna Hy.To Khuda K Liye In Se Bacho Aur Akharat Ki Taiyari Karo.

ALLAH Ka Shukar Hy K Unhone Mujhe Aur Meri Maa Ko Behan Ko Bhabhi Ko Parda Karne Ki Tofiek Ata Farmai.ALLAH Aap Ko Bhi Parda Karne Aur Es Donya Ki Bori Nazar Aur Fitno Se Bachne Ki Tofeq Ata Farmaye.Ameen
ALLAH Hafiz
Sallo Alal Habib S.A.W

za
About the Author: za Read More Articles by za: 4 Articles with 12563 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.