Hunza Kay Sabh Rangh Dil Kash
Or Siah Ki Ankh Kay Liye Apnay Andar Samoye Huay Hutein Hein Yahan Ki Insani Or
Wadee Ki Khubhsoraty Sab Qudrat Ki Dein Hein Yahan Kay Khizan Ka Mosam Bhee Bhut
Lajawabh Hay Pahaar Mukhtalif Rangh Bharay Paton (Leaves) Or Barf Sey Dhak Jatay
Hein Ju Siah Ki Ankh Kay Liye Kici Surprise Or Gift Say Kuch Kam Nahi Hutay Iss
Mosam Mein Hunza Valley Kay Dynamic Land Scapes Meray Jasay Shakhs Ko Iss Wadhi
Kay Ishq Mein Mubtela Kar Detay Hein Qun Kay Hum Ishq Kay Qaiel Nahi Hein Magar
Pher Bhee Iss Waqt Dil Karta Hay Kay Hunza Say Tot Kay Ishq Kiya Jaye Or Iss Kay
Daman Mein Sar Rakh Kay Kaiee Dino Kay Liye Ankhein Band Kar Kay Iss Kay Jamaal
Ko Kici Haseena Ki Trah Qied Kar Liya Jaye Magar Fiqar E Mazdoori Dino Ko Ghantu
Mein Badal Kay ,,Chal Meray Bahi Wala Qisa Bana Daty Hay.Khizan Mein Ju Peelay
Rangh Ki Bahaar Hunza Mein Aty Hay Shaied Hee Kici Or Zameen Kay Hisay Mein Aty
Hu Gee Ounchay Ounchay Pahaar Jasay Falak Bos Darakht Peelay Hu Kar Asa Manzar
Pesh Karty Hay Jasay Koi Nai Naveli Dulhan Apnay Maayun Ki Rasam Mein Abithy
Hu.Chalein Humaray Munh Say Dulhan Ki Baat Achi Nahi Laghty Ye Hum Nai Kah Rahay
Balkay Navid Ka Farmaan Hay Humaray Mutaliq Sohail Or Kalim Iss Irshaad E Navid
Say Bilkul Itefaaq Kartay Hein Inn Sab Ka Khiyaal Hay Kay Humaray Andar Zee
Rohun Kay Liye Jamaaliyaaty Hiss Nahi Hay Kher Agar Hum Iss Valley Ko Dulhan Sey
Tashbeeh Naa Bee Dein Tu Aap Yaqeen Kar Lijiye Kay Wo Asee Laghty Hay Ju Har
Siah Kay Mann Ko Bahaye.,,,,Jabh Hum Hunza Valley Kay Mutaliq Apnay Dil Ki Baat
Kar Rahay Thay Asay Feel Hu Raha Tha Jasay,,,,,,,,,,,,Mein Jabh Bhee Baat Karon
Mujhay Tok Dety Hay Wo ,,,,,,,Ek Rothi Hui Taqdeer Jasay Koi ,,Magar Hunza Ki
Valley Peghaam Day Rahee Thee Kay,,, Jasay Dour Koi Khenchay Teri Ourr Liye
Jaye.Iss Mosam Mein Darya Kay Pani Kaa Shore Zara Saa Kam Hu Jata Hay Magar Pori
Vadhee Apna Rangh Badal Laity Hay Jasay Koi Paikar E Mashriqi Apna Laibaas
Tabdeel Kar Kay Mazeed Qayamat Dahnay Aa Jaye(Jaaree Hay)