Ahtasab Department....

(fehmida, Karachi)

Kehtay Hain Jab Ishq Ho Jaye To Insan Kahin Ka Nahi Rehta...Per Jab ALLAH Say Pyar Ho To Us Insan Apnay Ap Ko Bhool Ker Subka Ho Jata Hay...Matlab Wo ALLAH Ko Razi Kernay K Liye Her Wo Kam Kerta Hay Jo ALLAH Ki Nazar Mae Usko Acha Sabit Karay...Allah Humse 70 Maa'on Jaisay Pyar Kerta Hay To Wo Kyon Hamain Jaza Nahi Day Ga...Aik Chotay Say Chotay Amal Ki Jaza Hay...Kisi Rastay Per Say Kailay Ka Chilka (Banana Peel) Utha Ker Side Per Kernay Ka He Itna Sawab Hay K Bayan Nahi Kia Ja Sukta...

Mazhab Say Pyar Insan Ko Bulandiyon Ki Taraf Lay Jata Hay...Wo Insan Ko Insaniat Ki Miraj Per Poncha Daita Hay..Usay Shaitan Bannay Nahi Deta...Log Apnay Mazhab Say Pyar Ka Izhar Gair Mazhab K Logon Per Tanqeed Ker K Show Kertay Hain...Jab K Unhain Ye Nahi Pata K Hamaray Pyary Mazhab Mae Kisi Dosray Mazahib Ko Bura Kehnay Ka Aur Unper Tanqeed Kernay Ka Gunnah Bataya Gaya Hay...Kisi Ko Sachai Aur Achai K Rastay Per Chalanay K Liye Kisi Qism K Daraway Ki Zaroorat Nahi Hoti...Apni Achai..Mazhab Ki Achai...Ap Sirf Aur Sirf Apnay Amal Say Zahir Ker Suktay Ho..Jo K Afsos K Sath Kehna Perta Hay K Hum Nahi Kertay...

Hum Khush Hotay Hain Dosron Per Tanqeed Ker K ..Bila Wajah Ya Wajah K Sath...Per Apnay Mae Sudhar Nahi Lana Chahtay...Kon Hay Jo PERFECT Hay..Sirf RAB He Hay To Perfect Hay..MAE...AAP....YA Aur Log Kuch Percent Achaiyan Rukhtay Hain To Burai Ka Bhi Kuch Ratio Hota Hay Hamaray Andar...

Kisi Mae Kuch Acha Hay..
Kisi Mae Kuch Bura Hay..
Insan Galtiyon Ka Putla Hay..

Kisi Insan Ki Zaat Agar Burai Say Pak Hoti To ALLAH Tallah Insan Ko Alag Aur Farishton Ko Alag Designation Nahi Deta...Bat Hay Samajh K...
Kisi Ki Burai Ki Taraf Ham Sub Say Pehlay Ungli Uthatay Hain..
Per Uski Achi Bat Ko Appreciate Nahi Kertay...
Mazhab Sikhata Hay K Achai Ki Tareef Karo...Aur Burai Ko Dhanpo..
Per Hum Kamzoor Log...Dosron Ki Khamiyon Ka Ahtasab Kertay Hain..Apna Nahi..

Agar Her Insan Apna Apna AHTASAB DEPARTMENT Bana Lay To Duniya Say Aur Hamari Zaat Say Kitni He Buraiyan Dore Ho Jain..

ALLAH Ko Khush Rukhna Hay To Hamain Logon Ko Khush Rukhna Hoga...
Logon Ko Khush Rukhnay Say Murad Unki Shaksiat Ki Khamiyon Ko Chupa Ker Unki Shaksiat Ki Achaiyon Ko Appreciate Kerna Hoga..Aur Unki Galtiyon Per Unko Mauf Kerna Hoga..K RAB Ko Mauf Kerna Pasand Hay...
 

fehmida
About the Author: fehmidaCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.