Saffar Shumaal Kay(Episode 117)

(hukhan, karachi)

Passu Ki Barf Bahut Sakht Hu Gai Thee Gernay Say Asa Lagh Raha Tha Jasay Ap Pakay Farsh Say Takraa Rahay Hun Magar Uss Par Hum Bahut Mushkil Say Pohanchay Thay Iss Liye Iss Par Baar Baar Gerna Phasalna Hum Sabh Par Farz Tha Gernay Ki Opening Sohail Say Hui Uss Par Hum Sab Hanstay Hanstay Gertay Chalay Gaye Sohail Yaar Tuu Gerta Bahut Acha Hay Navid Nay Mojh Laitay Huay Kaha ,,Teri Tra Nazron Sey Tu Nahi Gerta Naa Sohail Apni Saanson Par Qabu Patay Huay Kaha Kalim Yaar Tuu Naa Ger Jana Werna Glacier Ko Kon Utha Kar Hospital Laye Jaye Ga Navid Nay Kalim Ko Bhee Nahi Bakhsha Hum Gulmit Say 15 Km Dour Darya E Hunza Kay Paas Abadh Passu Kay Gaon Kay Paas Mojhudh Thay Ye Gulmit Gojaal Ki Tehseel Hay Gilgit Say Koi 150km Dour Darya Kay Sath Sath Ye Muqaam Aa Jata Hay Yahan Ki Muqami Abaadhi Wakhi Hay Or Wakhi Zubaan Hi Bolty Hay Samnay Hee 20000feet Passu Cone Pahaar Thay Ju Kay Samnay Seena Tanay Khuray Thay Ye Pahaar Passu Gaon Kay North Mein Thay In Kay Qareeb Passu Sar,Shispare Sar Or Batura Peaks Thein.Iss Mein Koi Shaq Nahi Kay Siah Ki Ankh Kay Liye Yahan Bahut Kuch Tha Pahaar,Barf ,Pani,,Or Yakh Hawa Ju Munh Ko Laal Kiye Dety Thee.Niaz Samnay Hotel Say Ju Kay Qadray Pechay Tha Khana Lay Aya Hum Nay Bottle Mein Glacier Ka Pani Bhuraa Or Khanay Par Hath Saaf Karna Shuro Kar Diye Pasuu Kay Baad Humaree Manzil Batura Tha Magar Abhi Humein Yahan Qayaam Karna Tha Hum Soch Rahay Thay Kay Yahan Hee Raat Guzari Jaye Or Subah Thoray Faslay Par Mojudh Batura Par Time Guzara Jaye Magar Tent Ka Intezaam Naa Hu Saka Or Yahan Ki Sardee Mein Garee Mein Raat Ka Matlabh Subah Beemaar Par Janaa Tha Hum Sabh Kahanay Sey Faarigh Hu Kar Glacier Ki Janibh Rukh Kar Kay Baith Gaye Hawa Thee Kay Ruknay Kaa Naam Bhee Naa Laity Thee Glacier Ki Barf Nay Isay Hamesha Kay Liye Freeze Kar Rakha Tha Hum Nay Bahut Kam Kahaya Tha Qun Kay Zayda Khaa Lainay Kay Baad Ap Serf So Saktay Hein Ghoom Nahi Saktay(Jaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195397 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.