57km Lambhay Glacier Kay Samnay 
Bas Uss Ki Haibat Thee Khuburaty Thee Samajh Lijiye Kay Humaree Halat Ye Thee 
Kay Batura Say Nazar Hii Naa Hut Tee Thee Baqi Hum Kia Dekh Patay Glacier Ka 
Bahaow West Say East Ki Janibh Tha Glacier Ka Nichla Hisa Gulabh Or Junipar Or 
Maveshion Par Mushtamil Tha Han Yalks Ko Dekhna Ek Munfaird Tajhraba Tha Yahan 
Ki Barf Gray Rangh Ki Hu Chucki Thee Batura Glacier Kay Trek Ko Paksitan Ka Sabh 
Say Dil Moh Lainay Wala Trek Kaha Jata Hay Khubhsorat Dil Ki Dahrkan Teiz Kar 
Denay Walay Nazaron Kay Sath Sath Mukhtalif Kisam Kay Phool Jis Mein Glabh Sab 
Say Zayda Numayan Hay Or Junipar Trees Iss Trek Kay Husan Mein Ek Dilkash Tasuur 
Paida Kartay Hein Or Yeh Sab Batura Glacier Or Pahaar Ki Darmiyaani Wadhee Mein 
Siah Ki Ankh Ko Mil Jata Hay Siah Ko Yahan Saans Rok Denay Wali Pekas Jasay 
Ultra 7388m,Shispare7611m,Passu Peak 7284m,Karun Koh7164m Or Shimshal Region Ki 
Peaks Bonus Mein Dekh Jaty Hein Agar Siah Fatimahil Tak Pohanch Jaye Tu Batura 
Kaa Kabi Naa Bholnay Wala Shumali Chahra Bhee Dekh Laita Hay.Batura Gojaal 
Valley Kay Mathay Kaa Jhoomar Hay Ye Azeem Glacier Jis Qadar Aap Iss Kay Qareeb 
Jaien Gay Yee Isi Qadar Wasee O Areez Huta Jaye Ga Yahan Mosam Bahut Sard Huta 
Jaa Raha Tha Glacier Say Anay Wali Barfeeli Hawa Iss Mein Mazeed Shidat Paida 
Kar Rahee Thee Yaar Cigret Penay Kaa Ju Maza Yahan Ata Hay Wo Or Kahien Nahi Ata 
Asa Kia Hay Yahan Khan Sabh Navid Nay Apni Kapkaphat Par Qabu Panay Ki Nakaam 
Koshish Ki ,,,Hum Kuch Boltay Iss Say Pehlay Hee Sohail Bola ,,Qun Kay Yahan 
Cigret Milty Nahi Or Mil Jaye Tu Asaani Say Jalty Nahi Usay Navid Ki Halat Par 
Reham Aa Raha Tha Jis Nay Baree Taghu Daud Kay Baad Cigret Sulghaiee Thee Kalim 
Ki Saans Ubh Tak Phooli Hui Thee Sardee Nay Humaree See See Mein Izafa Kar Diya 
Tha ,,Bahi Ubhi Tak June Hee Hay Naa Ya Yahan January Shuro Hu Gia Hay Kalim Nay 
Hath Baghlon Mein Dabatay Huay Kaha ,,,Yaar Apna Tu January Hee Hay Navid Nay 
Glacier Ki Traf Qamar Kar Kay Kahaa(Jaaree Hay)