Khungerab Kaa Naam Wakhi Sey
Lia Gia Hay Yeni Bahaar Wala Pani,Ye Karkoram Highway Kaa Sab Say Ouncha Muqaam
Hay Khanjerab National Park Say Ye 42 Km Dour Hay Jabh Ka Islamabad Say Ye 870km
Hay Agar Ap Gilgit Say Yahan Aein Gay Tu Ap Ko Ye Haseen Qudraty Nazaron Se
Malmaal 270km Ka Safar Taye Kerna Paray Ga.Ye 1982 Mein Ye Pass Mukamal Hua. Ye
Zayda Tar Barf Say Dhka Rehta Hay 30 Nov Sey 1 May Tak Yahan Ka Safar Naa Mumkin
Hay 1 June 2006 Say Gilgit Say Kashghar Tak Bus Service Shuro Hu Chucki Hay
Pakistan Or China Ki Hakoomatein Iss Baat Mein Bahut Sanjheeda Hein Kay Iss
Sarak Kay Sath Sath Train Kay Liye Track Bhee Bicha Diya Jaye Ju Duniya Mein
Apni Misaal Aap Ka Hu Ga.Jis Qadar Sahuliaat Barhty Jaein Gee Wesay Wesay Yahan
Kay Loghun Ki Economical Position Behtar Huty Jaein Gee Jis Say Mulkon Ki
Taraqee Agay Barhay Gee Iss Mein Koi Shaq Nahi Duniya Bhar Ki Nazrein Iss Azeem
Route Par Hein Khaas Kar Siahat Kay Liye Area Janat Say Kam Nahi
Pahar,Darya,Barf,Pani Sabza Kia Nahi Yahan Par Siah Ki Ankh Tu Ashiq Ki Tra Huty
Hay Jis Qadar Uss Mein Nazaray Utartay Hein Itnaa Hee Uss Ki Ankh Piasi Huty
Jaty Hay Or Ye Na Khatam Hunay Wali Piaas Usay Dar Dar Bhataknay Par Majhbhoor
Karty Hay,,,,Har Gali Mein Ek Haseena Hay,,,Siah Ki Ankh Ek Safeena Hay.Sost
Mein Shaam Ubh Humaray Paon Tak Pohanch Chuki Thee Sardee Ki Wajja Say Ek
Khushgawaar Saa Ehsaas Hu Raha Thha Chai Bhee Maza De Rahee Thee Navid Nay
Pahaar Ki Peak Ki Taraf Eshara Kar Kay Uss Par Basera Kartay Badloun Ki Taraf
Humaree Tuwajhu Delaiee ,,,,Yaar Kamaal Ka Manzar Hay Kalim Nay Bhee Taieed
Ki,,Sohail Chai Kay Cup Ko Apnay Chahray Ka Touwaaf Karwa Raha Tha Navid Nay
Humaree Taraf Sawalia Nazroun Say Dekha Kay Ye Kia Kar Raha Hay ,,Hum Bolay Ye
Iss Ka Chai Ko Cool Down Karnay Ka Tariqa Hay,,,Wah Chai Ko Nazroun Say Ojhal
Hunay Nahi Deta Navid Nay Hans Kar Kahaa,,,Yaar Iss Kaa Dehaan Simran Ki Taraf
Hay Iss Ko Disturbh Na Kro Kalim Nay Ankh Maar Kar Kahaa,,Sohail Ko Iss Wardaat
Ka Pata Hi Nahi Chala Wo Apnay Khyaloun Mein Gum Thaa Humein Bhee Uss Kay
Humaray Pas Hu Kar Pas Na Hunay Say Koi Farq Nahi Parta Tha Qun Kay Humaree Koi
Simran Naa Thee,Shaied Hum Geolous Thay ,,,(Jaree Hay)