(Chiraghdeen, Karachi)
Jang-E-Badar Key Moqey Per Mujahideen Ki Tadad 313 Aur Kuffar Ki Tadad 1000 Thi Lekin Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ko Kuffar Ki Sahih Tadad Ka Andaza Nahi Tha, Ittefaq Sey Dushman Key Camp Sey Ek Shakhs Raasta Bhool Ker Musalmano Ki Taraf Aagaya. Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ney Usey Pakar Liya Aur Kafiron Key Lashkar Ki Tadad Maloom Kerna Chahi; Wo Choonkeh Apney Lashkar Ka Khair Khowah Tha Isliye Usney Apney Lashker Ki Tadad Bataney Sey Inkaar Kerdia Balkeh Yeh Kaha Keh Allah Ki Qasam Bari Bhari Tadad Hey. Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ney Us Per Sakhti Bhi Ki Magar Usney Sahih Tadad Na Batai. Shor Ki Awaz Sunker Rasool-E-Pak (S.A.W.) Apney Khemey Sey Bahar Tashreef Laey Aur Puchha Keh Shor Kaisa Hey? Tau Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ney Bataya Keh Dushman Key Camp Ka Ek Shakhs Haath Laga Hey Magar Wo Apni Sahih Tadad Nahi Bata Raha, Aap (S.A.W.) Ne Fermaya Keh Usey Merey Paas Lao. Aap (S.A.W.) Ney Us Sey Lashker Ki Tadad Poochhney Key Bajaey Idher Udher Ki Batein Kerna Shuroo Kerdein Aur Us Sey Poochha Keh Tumharey Lashker Mein Gosht Tau Pakta Hoga? Us Ney Jawab Dia Yan Ham Rozana Gosht Khatey Hein; Phir AAP (S.A.W.) Ney Deryaaft Fermaya Keh Kitney Oont (Camels) Zibaah Hotey Hein? Tau Us Ney Jawab Dia Keh 10 Oont. Tau Fermaya Keh Bas Ab Isey Chhor Dau Maloom Hogaya Keh Lashker Ki Tadad Ek Hazaar (1000) Hey, Isliye Keh Ek Oont Mein Ek Soo (100) Afraad Khana Khasaktey Hein. Aap (S.A.W.) Ney Apni Zahanat Sey Ek Mint Mein Kuffar Key Lashker Ki Tadaad Ka Pata Chalalia, Jabkeh Sahaba-E-Kiram (R.A.) Kafi Dair Sey Koshish Ker Rahey They Magar Kaamiab Na Ho Sakey They.