(Chiraghdeen, Karachi.)
Baqya Hissa……………….Part - Ii Hazrat Imam Seereen (R.A.) Ney Fermaya Keh Khowaab Ki Tabeer Yeh Hey Keh; "Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Ney Paanch Ungliyoon Ki Taraf Ishara Kerkey Unn Paanch Chizon Ki Nishandahi Fermai Hey Keh Jinka Ilm Siwa'ey ALLAH Kareem Key Koi Nahi Jaanta; Jinka Zikr Quran Pak Ki Inn Aayaat Mein Hey; "(Surah Luqmaan – Aayat No: 34) Tarjumah: Beshak ALLAH Key Paas Hey Ilm Qayamat Ka – Aur Yeh Keh Barish Kab Aayeegi – Aur Wohi Jaanta Yeh Keh Rehm-E-Maather Mein Kia Hey – Aur Kisi Nafs Ko Ilm Nahi Keh Wo Kal Kia Karega – Aur Koi Nahi Jaanta Keh Kis Muqaam Per Uska Inteqaal Hoga – Beshak ALLAH Ta'ala Hi Janney Wala - Khabardaar Hey". Hazrat Imam Muhammad Bin Seereen (Reh, Alaih) Ney Fermaya Keh Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Ney Khowaab Mein Imam Maalik (Reh. Alaih) Ko Paanch Ungliyaan Dikhaker Yeh Bataya Hey Keh Zindagi Ki Haqeeqat Inn Paanch Chizon Mein Sey Hey Jinka Ilm Siwa'ey ALLAH Kareem (Subhanahu Wa Ta'ala) Key Kisi Aur Ko Nahi. Faedah: Yeh Mohabbat Ki Baat Hey Keh Hazrat Imam Maalik (R.A.) Hazrat Rasool-E-Pak (S.A.W.) Key Sheher Sey Bhi Mohabbat Kertey Hein Aur Chahtey Hein Keh Maut Bhi Aayee Tau Mehboob (S.A.W.) Key Sheher Mein Aayee, Yeh Na-Qabil-E-Inkaar Haqeeqat Hey Keh Insaan Ko Jis Sey Piar Hota Hey Tau Uski Her Cheez Sey Bhi Piyaar Hota Hey Lekin Agar Koi Rasool-E-Pak (S.A.W.) Sey Tau Mohabbat Ka Dawa Karey Aur Aap (S.A.W.) Key Sahaba (R.A.) Sey Izhaar-E-Nafrat Karey Tau Wo Yaqeenan Apney Iss Dawey Mein Jhoota Hey. Ek Buzurg Ney Apni Taqreer Mein Ek Waqea Sunaya Keh Ek Shakhs Hajj Key Moqey Per Madina Munawwara Gaya Aur Subah Naashta Kerney Key Liye Bazaar Sey Dahi Khareed Ker Laya Aur Jab Dahi Khaya Tau Wo Khatta Tha Chunacha Mun Banaker Kehney Laga Keh Dahi Tau Khatta Hey; Raat Ko Khowaab Mein Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ney Us Shakhs Sey Fermaya Keh Merey Sheher Sey Nikal Ja Aur Us Sheher Mein Chala Ja Keh Jahan Ka Dahi Tujhey Meetha Lagey; Too Yahan Cheezon Key Mazey Leney Aaya Hey Ya Meri Mohabbat Mein Aaya Hey? Jo Nabi (S.A.W.) Apney Sheher Ki Dahi Ko Bura Kehney Nahi Deta Wo Apney Sahaba Ko Bura Kehney Ki Ijaazat Kiyoonker Dega? Bilkul Nahi. Agar Aapko Apney Nabi (S.A.W.) Sey Waqei Mohabbat Hey Tau Uska Suboot Deje'ey Aur Sahaba-E-Kiram Ki Mohabbat Ko Dil Gehra'iyon Mein Jagah Deker Qalb-E-Mustafawi Mein Apney Liye Jagah Bana'iye Kiyoonkeh Yehi Kaamiabi Ka Raasta Hey.