Waqt

(Laraib, Lahore.)

Waqt Dikhae Nahi Deta Magar Dikha Bohat Kuch Deta Hai....Koi Bhi Shaks Ye Nahi Chahta Jo Uskey Sath Hua Wo Kisi Or K Sath Ho . Rishty Sirf Nam S H Achy Lagty Jab Insan Inhy Rishtu Me Kareeb Ajaye To Aik Waqt Ata H Jab Yahi Rishtey Insan Ko Tor K Rakh Date Hain. Jab Kam Hua Tab Yad Kia Jab Kam Nahi Tab Bhool Gye..

Kehte Hain Na ''Kam K Waqt To Insan Gadhy Ko B Bap Bana Leta Hai''

Esa H Kuch Hamare Sath Hua....

Kuch Arsey Pehle K Bat H Sab Khandan Wale Har Waqt Hamare Ird Gird Mojoud Rehte They Jab Bhi Kisi Ko Koi Kam Hota Ya Kuch Zaroorat Hota To Hamare Ghar Ka Rukh Karlete. Magar Aik Din Jab Achanak Mere Abbu Ko Serion Se Girney K Wajah S Kuch Chotain Lagein To Sab Gaeb Hogye Mere Bar Ha Phone Karney K Bawajud Koi Hamare Madad Ko Na Aya Aur Mere Mama Akele Sab Sambhalte Rahi.Kisi Ne Pocha Tak Na Ke Kis Hal Me Ho Magar Jese Hi Hmare Condition Kuch Behter Hue To Sab Ne Dobara Ana Jana Shuru Kardea Phir Jab Kam Hota To Hamara Darwaza Khatkaya Jata Magr Kam Hoty H Ese Gum Hojaty Sab Jese Humen Janty H Nahi.

Or Istrah Kuch H Waqt Me Is Bat Ka Ehsas Humen Bhi Hogya Ke Koi Kisi Ka Nahi Hota Sab Rishtey Sirf Nam K Hi Hain.Aur Istrah Humne Sabse Elahdgi Ikhtyar Karli..
 

Laraib
About the Author: Laraib Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.