Saffar Shumaal Kay(Episode 136)

(HuKhan, Karachi)

Aap Jabh Naltar Valley Ayein Tuu Bey Fiqar Hu Kar Aein Rastay Mein 2 Ghantay Kay Safar Kay Baad Garish Aye Ga Wahan Kay Hotel Mein Behtreen Khanaa Aur Chai Mil Jaye Gee Bas Thoraa Saa Mehangha Parta Hay Aap Gilgit Say Halka Phulka Khaa Kay Nikal Ayein Jabh Subah 8 Bajay Tak Aap Garish Pohanch Jaye Gein Tuu Aap Yahan Brunch Kar Saktein Hein Yeni Nashta Aur Lunch Ek Sath Kar Lein Raastay Mein Ski Muqabloun Ki Jagah Bee Aye Gee Ju Kay Paf Kay Under Hay Duniya Bhar Say Ski Kay Shoqeen Yahan Atay Hein Unn Ki Host Paf Huty Hay Ye Bahut Hee Sarsabz U Shaadabh Area Hay Paharun Nay Haryali Ka Sabz Blanket Uurh Rakha Hay Nechay Naltar Kay Pani Ki Behtee Nadi Oper Samnay Qudrat Kay Shahkaar Ko Mazeed Shahkaar Banaya Hua Hay Garish Kay Hotel Par Hum Nay Jeep Ko Bee Araam Diya Aur Chai Kay Cup Say Uthtay Huay Dhuwein Ko Valley Ki Fazaa Mein Gum Hutay Dekhtay Rahay .Naltar Valley Mein Dhoop Nikli Huee Thee Lake Ka Pani Neela Neela Saa Hu Raha Tha Hum Nay Boat Mein Baithnay Kay Faslay Par Nazar E Saani Ki Humaree Pusht Par Pahaar Say Water Fall Nechay Ger Ger Kay Humein Dawat E Nizara Dey Rahee Thee Hum Ek Chotee See Peak Par Char Gaye Iss Tra Water Fall Vision Bahut Clear Hu Gia Magar Abee Bee Mazaa Nahi Aa Raha Tha Hum, Nay Socha Zara Qareeb Say Water Fall Ka Nazaraa Kiya Jaye Hum Nay Kuch Waqt Kay Liye Naltar Lake Ko Alvida Kaha Aur Water Fall Ki Janib Chal Diye ,,,,Yaar Bahut Ounchee Hay Navid Nay Chotay Say Pani Kay Nalay Ko Phlanghtay Huay Kahaa ,,,,Yaar Jahaan Tak Baasaani Jaa Sakay Tu Jaein Gay Werna Wapis Aa Jaein Gay Water Fall Tak Jana Koi Zarori Nahi Hay Bas Thora Tu Aur Qareeb Hu Jatay Hein Sohail Nay Ubh Himat Pakar Lee Thee Kalim Khamoshi Say Pathrun Aur Pani Say Bachatay Huay Chal Raha Tha Ubh Loghun Ki Tadaad Bee Barhnay Lagee Thee Jeep Ek Kay Baad Ek Valley Tak Pohanch Rahee Thee Jeep Walay Utar Kay Saya Dhund Dhund Kay Sab Akhatay Hunay Lagay Unhein Iss Manzar Se Kuch Khas Dilchasbi Naa Thee Wo Tu Bas Ye Soch Rahay Thay Kay Iss Saal Season Kasa Rahay Ga Kahein Barish Land Slides Kay Baad Un Ki Rozi Rotee Mein Kahein Kami Tu Na Kar De Gee Ubh Tak Wo Mosam Ki Perfomance Sey Behad Mutmaein Thay Iss Time Un Ka Sab Say Eham Kaam Cigrete Peena Aur Time Pass Karna Tha Humaree Saans Phool Rahee Thee(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1253683 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.