Aye Maa Meri Pyari Maa Tujhe
Meri Bhi Zindagi Lag Jai Magar Mujhe Chor Ke Mut Jana. Tum Bohot Bimar Aur
Kamzoor Hogai Ho Magar Phir Bhi Hamari Taqat Aur Qeemti Sarmaya Ho. Agar Tumhain
Kuch Hojata Hai Tu Hum Kaise Jeeyain Gey. Jeenay Ke Liye Himmat, Hosla Aur Taqat
Kahan Se Layen Ge. Bus Bataa Tey Jana.
Maa Tumhare Bagair Meri Zindagi Mein Andhera Hi Andhera Hai. Agar Tum Chaleen
Gayeen Tu Mein Bhi Bohot Jald Tumharey Pas Ajaonga Kiyun Ki Phir Mere Liye Is
Dunya Mein Kuch Bhi Nahi Bacha Hoga.
Meri Maa Tum Ne Sari Umar Sakht Takleefain Utha Kar Hamain Chalna, Phirna Aur
Salikhay Se Jeena Sikhaya. Aaj Jo Allah Mujh Pe Itna Meherbaan Hai Aur Jo Mujhe
Izzat Mili Hai Aye Maa Teri Wajha Se Tu Hai. Teri Judai Ka Sadma Mein Nahin
Bardasht Kar Paonga. Mein Hamesha Tera Daman Pakra Rehta Tha Bachpan Se Aaj Wo
Daman Kiyun Allah Chura Raha Hai. Mujhe Meri Maa Ke Saath Hee Bula Le. Tere
Baghair Mein Akela Nahi Jee Paonga Is Dunya. Tere Jaisi Duwain Aur Meri Dekh
Bhall Kaun Kar Pai Gaa. Nahi Maa Mujhe Akela Chor Ke Mut Jana. Mujhe Sir Allah
Ki Aur Tere Saye Ki Zaroorat Hai. Allah Ko Tu Nahi Dekha Magar Teri Mohabbat
Bhari Mamta Ka Saya Zaroor Dekha.
Tum Mujhe Bohot Yaad Kar Rahi Ho Aur Mein Bus Jald Se Jald Chicago Pohonch Raha
Hoon Tumhain Galey Lagney Ke Liye Tumhari Hannat Ki Khusboo Soongney Ke Liye.
Phir Kahan Naseeb Hongeen Ye Nematain. Kash Mere Bus Mein Hota Tu Mein Teri
Taraf Aaney Wali Maut Se Bhi Lar Jaata Aur Oosko Tujhse Dor Rakhta, Meri Maa
Tuney Mujhe Larna Sikhaya Hai Izzat Se Jeenay Ke Liye Aur Marney Ke Liye. Go Ki
Shaitan Ne Mujhe Bohot Gumrah Karne Ki Koshish Ki Magar Meri Pyari Maa Teri
Tarbiat Ne Hee Mujhe Jhoot, Lalach, Rishwat, Makkari Aur Bohot Sari Burayoun Se
Bacha Ke Rakha. Meri Maa Mein Teri Azmat, Mohabbat Aur Buland Darjey Ko Bayan
Hee Nahi Kar Sakhta. Meri Zaban Aur Qalam Donoun Mein Ye Taqat Hai Hee Nahi.
June 9, 1973, Mein Walid Ke Intiqal Ke Baad Jo Tum Ne Hamain Samait Ke Rakha Aur
Hum Donoun Kaise Saath Saath Dukh Aur Dard Mein Shareek Rahey Aur Zalim Dunya Se
Muqabla Kartey Rahey. Ye Sub Kuch Mein Kaise Bhula Doon. Bus Itna Mujhe Bataa
De. Maa Mein Tere Liye Dua Tu Kar Raha Hoon Magar Mein Bohot Gunahgar Hoon. Sirf
Allah Ke Agey Jhook Kar Tujhe Maang Hee Sakta Hoon Aur Ooski Maslehat Ke Agey
Khamosh Hee Reh Sakta Hoon.
Meri Pyari Maa Tu Ne Hamari Khatir Apni Zindagi Ko Hamari Chawoun Bana Diya Aur
Oos Saye Mein Achi Tarha Paley Barhay. Aye Maa Mein Chawoun Kahan Se Laounga.
Mein Ne Tu Kabhi Khuda Ke Siwa Kisi Se Kuch Maanga Hee Nahi Kiyun Ki Tu Ne
Sikhaya Hee Nahi. Maa Who Mohabbat Aur Tarbiat Kahan Se Laoun. Isi Liye Meri Maa
Mein Keh Raha Hoon Aur Bachpan Ki Tarha Zid Ksr Raha Hoon Ki Mujhe Bhi Saath
Lechalo. Maa Mein Bohot Thak Gaya Hoon. Waise Hee Tujh Se Doori Mujh Pe Bohot
Bhari Parh Rahi Hai. Mein Toronto, Canada, Mein Aur Tum Chicago, Us, Mein Aur Ab
Itni Dor Hojao Gee Tu Mein Kaise Jiyun Gaa. Aye Khuda, Mujhe Sirf Aur Meri Maa
Chahiye Ya Mujhe Bhi Saath Bula Le. Nahi Rehna Mujhe Is Dunya Mein. Mere Liye
Yahan Maa Ke Baad Kuch Bhi Nahi Rakha Hoga. Nahi Chahiye Aisi Beraunaq Zindagi.
Dunya Ka Kaam Sirf Dosroun Pe Hasna Aur Unka Mazaq Urana Hai. Aye Maa Kia Tum
Mujhe Aisi Dunya Ke Hawaley Kar Ke Jao Gee. Kia Allah Ko Aur Tumhain Zara Sa Bhi
Mujh Pe Taras Nahi Aaraha. Aisi Zindagi Se Behtar Tu Mere Liye Maut Hogi Jo
Mujhe Tujh Se Mila Tu De Gee Aur Hum Hamesha Saath Rahain Gey. Maa Mujhe Aisi
Zinfagee Nahi Chaiye. Mujhe Koi Hamdardi Aur Dost Nahi Chahiye. Maa Meri Sub Se
Achi Aur Sachi Dost Tu Tum Hee Ho. Tum Kaise Mujhe Akela Chor Kar Jaaney Ka
Soonch Rahi Ho. Maa Allah Se Dua Karo Ki Mujhe Bhi Tere Saath Bula Le. Who Maa
Ki Dua Zaroor Sunta Hai. Meri Maa Meri Ye Baat Maan Lo. Tumharey Bagair Mein
Nahi Jee Sakta Nahi Reh Sakta. Dunya Kia Samjhay Gee Mujhe Jitna Tum Jaanti Aur
Samajhti Ho.
Aye Maa Tuney Mujhe Jeena Sikhaya Ab Mujhey Marna Bhi Sikha De. Kaash Mere Bus
Mein Marna Hota Tu Mein Khooshi Khooshi Tere Saath Jaaney Ke Liye Fouran Tayyar
Hojata. Kaash Aisa Hota.
Mein Sari Dunya Se Haath Jorh Kar Meri Maa Ki Sehat Aur Zindagi Ke Liye Dua Kee
Iltija Karta Hoon. Hum Tu Gunahgar Hain Shayad Kisi Allah Ke Nek Bandey Ki Dua
Qabool Hojai.
Aye Maa Meri Pyari Maa Teri Azmat Ko Salam.Aye Allah Tera Lakh Lakh Shukar Ki Tu
Ne Dee Mujhe Aisi Azeem Maa Jis Ne Har Halat Aur Buray Waqt Ke Bawajood
Muskuratey Huwe Rakha Sar Pe Hamarey Haath. Aur Kis Hasti Mein Hosakti Hai Aisi
Baat,
Gumnaam Hotay Tu Acha Hi Hota Warna Naam Kama Kar Kia Kar Liya. Jo Likha Wo
Raddi Ka Dher Bunjai Gaa Aur Raddi Ke Dabbey Ki Nazar.