Yaar Wesay Ye Gilgit Apnay
Quetta Saa Nahi Hay Kiya,,,Kalim Nay Apni Soch Kay Ghoray Douraye,,,,Yaar ,,,Ubh
Ye Na Keh Dena Kay Tu Khud Bee,,,,,Harrison Ford Sa Hay,,,Yaar Pakistan Ka Har
Shaer Ek Say Bar Kay Ek Hay Navid Kay Andar Ka Muhib E Watan Baher Ana Shuro Hu
Gia,,,,,,,,,Navid Pakistan Kay Baray Mein Kuch Bee Ghalt Bardasht Nahi
Krta,,,,,,,,,Meray Desh Ki Miti Navid Kay Andar Boltee Hay,,,,,,Then Evey One
Should Say Thanks To Me,,,,Its Me Who Bring You Peoples Here,Its All My
Plan,,,,,Hum Nay Kursee Par Baithay Baithay Jis Qadar Seena Phulaya Jaa Sakta
Tha ,,,Phulla Lia,,,,,,,,,,,Sohail Nay Hotel Mein Charun Taraf Dekha,,,,,,,,Yaar
Aas Pass Koi Larki Nahi ,,Pher ,Khan Sahibh Ko English Ka Douraa Qun
Para,,,,,,,,,,,Yaar Ye Mujhay Angreiz Samajh Raha Hay,,,,,,Kalim Nay Awal Darjay
Ki Chawal Maari....Navid Nay Mazay Say Kahaa,,,,,,Angreiz Nahi Uss Ki Jali Hui
Lash Hay Tu,,,,,,,Yaar Wesay Saray Dry Kisam Kay Pahaar Hein.....Magar Zara See
Dour Hee,,,,,,Naltar Valley Hay,Hunza Hay,,,,,,,,,Darya Hay Chashmay
Hein,,,,,Water Falls Hein Aur Kiya Chaiye,,,,,,,,,,,Yahan Ka Apna Hee Maza
Hay,,,,,,,Din Kitna Bee Garam Tha Magar,,,,,Raat Ki Thandee Chadar Uurh Li Hay
Giligit Nay,,,,,Han Ye Baat Tu Hay Yaar Choke Par Dekha Tha India Ka Helicopter
Rakha Hua Hay,,,,,Ji Dekha Tha,,,,School Bee Bhut Hein,,,,,,,,,,Radio Station
Air Port,,,,,Sab Kuch Tu Hay 5 Star Hotel,,,,,Aur Bahut Say Hum Ghareeb Parwar
Hotel Bee Hein,,,,,,Khan Sahibh Ghareeb Hun Gay Aap,,,,,,,,Sohail Nay Banawatee
Lahjhay Mein Kahaa,,,,,Mein Tu Serf Dostee Ki Khatir Aap Loghun Kay Sath Hun
,Werna,,,,,,,,Mein Tu Koi Bee 5 Star Package Kay Sath Yahan Aa Sakta
Tha,,,,,,,,,Ek Tu Mein Fazool Kharchi Kaa Qaiel Nahi Dosra Mein Na Huta Tu
,,,Meri Taraf Eshara Kar Kay ,,Iss Ki Manhoos Poetry Sun Kay Kon Jhotee Wah Wah
Karta,,,,,Navid Nay Humaree Taraf Dekh Kay Kahaa,,,,,Khan,,,,,,,,Iss Ki Simran
Kay Lliye Ju Poetry Ki Thee,,,,Ubh Isay Na Dena,,,,,Ye Iss Qabil Hay Hee Nahi
Bahut Hee Bayadabh Hay Adabh Kay Mammlay Mein,,,,,,,,,Sohail Muskara Kay
Bola,,,Jabh Bee Mein Kici Larkee Kay Baray Mein Aur Iss Ki Poetry Kay Istemaal
Kay Baray Mein Sochta Hun Ya Tu Wo,,,,Bahi,,,,,Keh Detee Hay Ya Uss Ki Shadi Hu
Jatee Hay,,,,,,,Iss Ki Poetry Naqabil E Istemaal Hay,,,,,Hum Sabh Nay Zor Daar
Qahkahaa Lagaya,,,,Hotel Walay Sabh Hum Loghun Ki Taraf Matwajhay Hu Gaye(Jaree
Hay)