Saffar Shumaal Kay (Episode 151)

(HuKhaN, Karachi)

Niaz Nay Driving Seat Say Hee Apni Unghli Asmaan Ki Taraf Utha Dee,,,,Waha ,,,,,,Jana Hay,,,,,Hum Tu Kai Ek Baar Aa Chuckay Thay Layhaza Humein Us Kay Wahan Ka Matlab Pata Tha,,,,Humaree Garee Dir Ko Cross Kar Kay Alus Subah Pehlay Bareer Ko Cross Kar Kay Lowari Pass Ki Hadood Mein Ghus Rahee Thee,,,,,,Humein Pora Ilm Tha ,,,,,,,,,,Pait Mein Paray Huay,,,,Parathay Anday Kay Sath Kia Hunay Wala Tha,,,,,Niaz Ki Unghi Ko Teenu Nay Nazar Andaaz Sa Kar Diya Tha,,,,,,Wo Isay Mazaaq Samjhay Thay,,,,Lawari Pass Par Sfar Karna Kici Bee Siah Kay Liye Gold Medal Say Kam Na Tha,,,,World Geo Channel Nay Isay Pori Duniya Mein Mashoor Kar Diya Hay....Lawari Pass Chitral Ko Der Se Milata Hay,,,,Ye Samdar Ki Satah Say 10230 Feet Buland Hay Road Ghaieb Hu Gai Thee,,,,Kachaa Rasta Magar Pukhta Raasta Humaree Garee Ko Welcome Keh Raha Tha,,,,Niaz Ko Shaied Raat Bhar Subah Kay Iss Safar Ki Waja Say Neend Naa Ayee Thee,,,,,Sorajh Nikal Chucka Tha Ye Baat Niaz Kay Liye Bhut Mutmain Karnay Wali Thee Pani Ki Botlein Nay Hum Nay Dhoop Dekh Kay Kapray Mein Lapait Kar Asee Jagah Rakh Dee Thee Kay,,,,Engine Ki Heat Aur Dhoop Uss Say Mulaqaat Ba Asaani Na Kar Paein,,,,,,,Yaar Garee Mein Refregritor Huna Chaiye,,,,Sohail Nay Bhut Dourr Ki Haank Lagaie,,,,Navid Ko Uss Ki Baat Hazam Na Huee,,,,,Jhat Say Bola,,,,,Chadar Kaat Kay,,,,,,Mozay Romaal Banay Walay,,,,,Mein Beech Mein Bola,,,,,Navid Kai Ek Dafa Iss Nay Purani Chadar Se Shirt Bee Banaiee Hay,,,,Kalim Daant Pees Kay Bola,,,,,Jaib Mein Taka Nahi,,,,,Munh Chaar Anay Wala,,,,,,Sohail Nay Muskara Kay Kahaa,,,,,,Future Kay Har Baray Tychone Ko Uss Kay Dost Asay Hee Bola Kartay Hein,,,,,Niaz Punjabi Mein Fiqarmandi Say Bola.....Allah ,,,,Allah,,,Kro Ji ,,,,,Safar Zara Mushkil Hay,,,Yaar Iss Sohail Kay Munh Par Tape Laga Du,,,,,Ye,,,,,Koi Na Koi Hadisa Karwaye Ga,,,,Hum Nay Muskara Kay Navid Ko Dekha,,,,Wo Samnay Wali Sarak Ko Dekh Raha Tha,,,,,,Jahaa Koi Hadisa Hua Tha,,,,Loghun Ka Hajoom Tha Aur Bas Shore Tha (Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1254353 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.