AAo Sochen Zara
(Syed Sheeraz Tasleem, Karachi)
My Dear Lovely Friends: Aao
Sochen Zara Ghour Se Sochen Thori Der Ankhen Band Kar Ke Sochen Kay Hum Koun
Hain Hamari Pehchan Kya Hai Hum Kya Hai. Kya Koi Mujhe Ye Dawa Kar Sakta Hai Kay
Kal Ka Soraj Aur Kal Ki Sham Ya Din Ka Koi Pal Wo Deckhe Ga Ya Nahin Koi Dawa
Nahin Kar Sakta Kyon Kay Hum Sirf Ek Kat Putli Hain Hain Hamari Is Zameen Per
Koi Auqaat Nahin Kyun Kay Hum Aise Hain Jaise Kay Ek Chunti Jesay Hum Jab Chahen
Apne Haton Se Kuchal Sakte Hain Aisa Hi Hamara Rab Kar Sakta Hai Hamare Sath Jab
Chahe Jaise Chahe. Tou Kya Hamne Kabhi Ye Socha Ke Hamara Rab Hum Se Aakhir Kya
Chahta Hai Sirf Panch Waqt Ki Namaz Aur Chand Deegar Ahkamat Per Amal Karna Bus
Ye Tou Kuch Bhi Nahin Hai Is Se Zyda Tou Hum Apni Company Apne Boss Aur Apni
Rozi Kamane Kay Liye Kar Dete Hain Wo Bhi Chand Paisoon Kay Liye Ye Soch Kar Ye
Hamari Mehnat Hai Nahin Mere Doston Ye Ussi Allah Ka Kiya Hua Wada Hai Hum Se
Rozee Bantne Ka Jo Company Ya Jo Boss Hamen Salary De Raha Hai Hum Chand Paisoon
Kay Liye Uskay Liye Kya Kuch Karte Hain Jo Sirf Zariya Hai Allah Ka Hum Tak
Rozee Pohnchane Ka Tou Hum Allah Kay Liye Namaz Nahin Par Sakte Socho Zara Ghour
Se Socho Mere Doston Jab Koi Mujhse Ye Baten Kehta Tha Tou Main Bhi Yehi Kehta
Tha Abey Chor Iski Batoon Ko But Such Yehi Hai Mere Doston Jisey Hum Bhol Gae
Hain Main Koi Aalim Nahin Main Ye Bhi Dawa Nahin Karsakta Kay Main Acha Insaan
Hon Namazi Parhez Gar Hon But Mera Dil Mutmaeen Hai Main Sirf Ye Janna Chahta
Hon Kya Apka Dil Mutmaeen Hai. Pochen Apne Dilse Aur Jawab Den.