Government Role Towards Poor Children
(AREEBA SAEED, CHISHTIAN)
Assalam O Alaikum! Dear
Fellows Ihope Ap Theak Ho Gey. Meei Aj Eik New Topic Aur Eik Umeed Kay Sath
Ayai Hou. Mera Topic Poor Children Aur Un Kay Rights Kay Baaray Mei Hai.
Magar Mei Sub Say Pehlay Ap Sub Say Yeh Pochna Chah Thi Hou Ksy Jasay
Pehalay Hazrat Muhammad Saw Kay Dour Mei Sub Kay Sath Insaff Kya Jata Tha
Kya Wasay Hi Aj Kay Dour Mei Insaf Kya Jata Hai????? Kya Aj Hamaray Mualk
Mei Gareeb Aur Ameer Ka Faraq Hai Ya Nahi??????? Aj Hamaray Mulak Mei Ammer
Ko Protocol Aur Gareeb Ko Gallia Di Jati Hain. Aj Kay Haalat Mei Mulak Ko
Support Ki Zaroort Hai. Woh Support Sirf Aj Ka Bacha Yahi Qoam Ka Sarmiya
Students Hain. Magar Jab Aj Ka Hi Bacha Roads Per Beegh Mangay Ga, Dosoray
Kay Darr Per Jai Ga, Parh Nay Kay Liye Kitabaein Nahi Ho Gi, Ghar Kay Mashi
Haalat Ki Wajah Say Road Per Ya Kis B Jagah Beegh Mangay Ga , Nookari Karay
Ga Tou Mulk Kis Tarah Aa Gay Baray Ga. Woh Bachay Jin Ko Parents Chorr Dey
Thay Hain, Ya Phir Maashi Haalt Ya Gurbaat Ki Wajah Say , Ya Phir Apnay
Haalat Ko Drusat Kar Nay Liye Dosorou Kay Pass Chorr Dey Thay Hain Aur Woh
Nookar Say B Bathar Zindagi Guzarr Thay Hain Kya Unay Koi Jeenay Ka Haaq
Nahi Hai?????????? Kya Un Kay Khawoob Nahi Hai??????????? Kya Woh Doctor Ya
Engineer Nahi Bana Chah Thay????? Kya Woh Dosorou Ki Tarah Nahi Hain Ya Un
Ka Dil Aalah Nay Sinnay Say Nikal Dia Hai????? Kya Un Ki Khwaish Nahi Kay Un
Kay Sath B Normal Behaviour Raka Jaei??????? Afsoos Sad Afsoos Asay Bachou
Kay Baaray Mei Kon Sochay Ga. Sirf Eik Gareeb Hi. Kya Yeh Soch Sirf Gareeb
Tak Hi Lagou Hai Ya Ameerou Per B Hai. Hamari Government Tou Dour Ki Baat
Society Ka Amm Admi B Yeh Nahi Soch Tha. Hamari Government Ko Sirf Orange
Train Project Per 62 Billion Rupees Karach Kar Nay Atay Hain, Saaf Pani Kay
Liye 3 Million, Development Programmes Kay Liye Arbou Rupaay Magar Un Massom
Gareeb Bachou Kay Rights Kay Liye, Unki Protection Kay Liye, Unko Alla
Taliim Denay Kay Liye, Unkay Dreams Kauy Liye Government Nay Potthi Kori Tak
Karch Nahi Ki. Baray Baray Daway Kar Nay Walay Eik Bachay Ko Protection Nahi
Day Sahk Thay Eoh Is Mulk Ko Kia Protection Dey Gey????????? Afsoos Ki Baagt
Last Ngo For Poor Childs Kay Liye 2003 Mei Bani Thi Aur Ab 2017 Hai . Afsoos
Ki Baar Aj Har Bacha Jo Lawaris Paida Hota Hai Us Ki Zindagi Kutay Say B
Bathar Hoti Hai. Iss Tarah Kay Bachou Kay Sath Zaithi, Maar Peth, Jasay Kaam
Kie Jatay. Media Aur Politicians Us Ko Tou Baiyan Kar Thay Hain Magar Un
Gareeb Bachou Kay Right Kay Liye Kar Thay Hai????????? Million Billion Pasa
Karach Kar Nay Walay Mulk Ki Taraqi Tou Kar Sakh Thay Hain Magar Un Gareeb
Bachou Kay Ngeo Kya Eik Pasa B Karach Nahi Kar Sahk Thay Hain. Yeh Hamaei
Government Aur Uska Azeem Role Hamaray Gareeb Bachou Ki Taraf Jo Ajj B Har
Jagh Khai Na Khai Zalli Ho Ra Hai Aur Roads Per So Tha Hai, Gaand Mei Khana
Khata Hai. Iss Article Kay Zariya Mei Na Sirf Government Balkay Ap Logou Ki
B Tawajf Dalwana Chah Thi Agar Ap Kay Pass Waqat Ho Tou Un Bachou Kay Baaray
Mei Zarror Sochay. Unko Galat Sabit Karni Ki Bajay Unko Samjay, Maad Karay.
Allah Ap Ki B Sunnay Ga . Kush Rahsy Aur Iss Article Ko Parh Nay Kay Baad Is
Ko Zaroor Samjay Ga. Khuda Hafiz.