What people will say ''Log Kya Kahein Ge''

(Hafiz Munir, Gujranwala)

''LOG KYA KAHEIN GE''

Meri Shadi Pe Jab Niakh K Baad Rukhsti Ka Tym Aya Tu Achanak Kisi Ne Mujhy Chawal Pakraye Aur Kaha K Ye Chawal Apne Peeche Phenku, Thori Der K Liye Main Ruka, Buht Ajeeb Feel Kiya Lakin Family Walun K Israr Pe Mujhy Ye Krna He Parha.

Shadi Se Pehle Ghar Walu Ku Kaha K Shadi Simple Huni Chahiye Yani Dhol Wagaira Ke Beghair, Bade Bhai Sab Naraz Hu Gaye, Kehty Hain Dhol Wale Ku Nai Bulana Tu Main Shadi Pe Nahi Aon Ga, Hamare Choty Bhai Ki Shadi Ha Tu Hum Dhol Aur Mehndi K Beghair Kaisy Krein ''Log Kya Kahein Ge''
Ye Tu Sirf 2 Batain Btai Hain Iss K Ilawa B Buht Kuch Hua Aur Aksar Sab Ki Shadiyon Main Huta Ha Ju Ke Fazool Ha, Deen Se Bahir Ha Aur Befazool Paison Ka Zya Ha Ju Baad Main Qarze Ki Soorat Main Hum Adaa Krte Rehte Hain

Ye Sab Dekh Ke Baaz Auqat Buht Ghussa Ata Ha Aur Apne App Pe Reham Bi K Hum Kis Simmat Main Jar He Hain, Sab Rasmain Aur Taur Tareeq Ghair Muslims Wale Apnaye Huye Hain, Follow Ghair Muslims Ku Krte Hain Aur Gily Shikwe Apne Rabb Se Krte Hain Aur Pir Kehte Hain Hamara Rab Hamari Duain Qabool Nai Krta, Ye Sab Kr K Aik Tu Hum Apne Rabb Ku Naraz Krte Hain Aur Iss K Ilawa Apne Ooper Bojh B Dalte Hain Wo Aise K Be Fazool Kaam Aur Us Pe Paison Ka Zya Sirf Logon Ki Bataon Se Bachne K Liye Aur Dunya Ku Dekhane K Liye, Hum Ye Nahi Sochty K Hum Apne Rabb K Liye Kya Kr Rhe Hain, Hum Ye Sab Kuch Krte Hain Sirf 1 Jumla Se Bachne K Liye ''Log Kya Kahein Ge''

Iss Jumly Ne Hamari Society Ku Tabah O Barbaad Kr Diya Ha, Apne Wasail Se Badh Kr Hum Har 1 Kaam Krte Hain , Even K Apne Deen Ke Kamon Ku Sir Anjaam Dete Hain Sirf Dunya Ku Dekhane K Liye Na Ke Apne Rabb Ku Raazi Krne K Liye.

Maine Shuru Main Apni Shadi Ki Baat Iss Liye Ki K Har Banda Doosre Pe Tanqeed Krta Ha K Us Ne Ye Kiya Per Hum Apna Gireeban Nai Dekhty K Hum Kya Kr Rhe Hain, Agr Har Koi Ihtesaab Apne Aap Se Shuru Kre Tu Kisi Ku Smjane Aur Btane Ki Zrorat Nai, Dunya Khud Ba Khud Seede Rasty Pe A Jaye
Khudara Dunya Ku Raazi Krne Ki Bjaye Apne Rabb Ku Raazi Kijiye Dunya Simple Hu Jaye Gi Aur Akhirat Asaan Aur Plzzzz Is Sentence Se Jitni Hu Ske Bachne Ki Koshish Krein ''Log Kya Kahein Ge''

Hafiz Munir
About the Author: Hafiz Munir Read More Articles by Hafiz Munir: 2 Articles with 2297 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.