Indeed all actions are based on the intentions إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ
(Hafiz Munir, Gujranwala)
Kisi Ki Help Krein Tu Niyat
Allah Ku Raazi Krne Ki Hu Na K Logon Ku Dekhane Ki
Kisi Janaze Main Jayin Tu Sawab Ki Niyat Se, Na Ke Iss Niyat Se Ke Marne Wala
Apka Reltive Ha, Friend Ha, Ya Buht Zyada Qareebi.
Sadqa Dete Waqt Ye Khayaal Rakhain K Lene Wala Zyada Feel Na Kre Aur Hadees K
Mutabiq 1 Hath Se Dein Tu Doosre Hath Ku Pata Na Chale, Yani Iss Main B Dekhave
Ki Niyat Na Hu
Kisi Ki Ghalti Per Agr Ap Usy Smjana Chahein Tu Akele Main Smjain Na K Sab Logon
Main Uska Mazaq Uraein, Q K Apku Ajar Apki Niyat Ke Hisab Se Mily Ga K Apne Usy
Smjaya Ya Zaleel Kiya.
Aksar Hamre Han Betiyon Ki Shadi Pe Relatives Ya Neighbours Ye Poochte Hain K
Beti Ku Jahez Kya Diya, Kitne Kapre Bnaye, Kitna Gold ETCCCCC.
Khudara Aisa Mat Krein, Q K Koi Apni Beti Ku Zyada Nahi De Skta Tu Aisa Pooch K
Lgon Main Beti Wale Ki Ruswai Mat Krein.
Iss K Ilwa Be Buht Sare Aise Kaam Hain Ju Hum Roz Krte Hain, Kaam B Dekhne Main
Ache Huty Hain Per Hamari Niyat Achi Nai Huti So I Am Sure Ke Hum Chahe Jitney
Marzi Ache Kaam Kr Lein Jab Tak Hum Niyyat Achi Nai Rakhain Ge So Koi Faida Nai.
Hamari Ye Ghaltiyan Dekhne Aur Feel Krne Main Badi Aam Si Lagti Hain Per Akhirat
Main Hisab Ke Waqt Ye Ghaltiyan Hamare Liye Azaab Ban Jayin Gi, Aur In Opposite
Side Aise He Agr Hum Apni Niyat Har Kaam Main Achi Rakhin So Ye Chote Chote Kaam
Akhrat Main Hamari Nijaat Ka Zriyan Ban Skte Hain
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ - 'Innama A'malu Bin Niat
Indeed All Actions Are Based On The Intentions
So Kindly Amaal Bi Ache Rakhain Aur Sath Niyat Bi, Ta Ke Hamara Maqsad Sirf
Allah Ku Razi Krna Hun Na K Dunya Ku.
Allah Pak Hum Sab Ku Amal Ki Taufeeq Ataa Farmaye Ameen.