Zindagi Kitni Badul Jati Hai
Jub Hum Chote Hotey Hein. Nanney Khayalat Or Chotti Chotti Batein Bahut Achi
Lugti Hein. Zindagi Ka Yeh Hisa Yani Bachpan Ya Tu Achi Yad Bun Kr Hamein Aik
Acha Insaan Bunanei Ka Moka Deti Hai Y Aik Buri Yad Bun Kr Hamein Bura Insaan
Bana Deti Hai. Hamara Bachpan Sirf Hamara Hi Nahi Hta Bulke Is Se Bahut Logo Ki
Zindagi Juri Hoti Hai Khas Taur Se Un Logo Ki Jo Hamare Maa Baap Hote Hai. Yeh
Hamarre Bachpun K Sath Apna Bachpun Jene Ki Koshish Karte Hai Kabhi Yeh Hamare
Dost Bun Jate Hai Or Kabhi Aise Rehnuma Jo Hamein Dante Hai Or Kabhi Itna Piyar
Detain Hai K Hamein Unke Pyar Pr Shuk Hne Lagta Hai Matlub Yeh K Hum Samjh Hi
Nhi Pate Or Jub Hamein Is Pyarr Ki Smjh Aane Lagti Hai. To Wo Hum Se Pyar Kr Ne
Wale Hath Apna Hath Chura Kr Kahi Bahut Duur Chale Jate Hai Jaha Hum Lakh Chahne
K Bawajud Nahi Dekh Pate. Is Intizar Mein Jub Hum Bare Honge Tu Hum Unhie Wohi
Pyar Mohubut Deinge.Jo Unhune Hamare Bachpan Mei Humein Dia. Yeh Intizarr Jane
Kub Khatum Hoga. Q K Aaj Kal Ki Saddi Mei Na Tu Bachoo Ne Apna Bachpan Jia Hai
Or Na Hi Maa Baap K Paas Wakt. Bachoo Ko Nahi Yaad K Hamara Bachpan A Kar Kub
Chala Gaia. Be Rah Ravi Ka Shikar Yeh Bache Bare Ho Kr Mulk K Namwar Terrorist
Mei Shumar Hte Hai. Ya Gum Nam Andhairo Me Gum Ho Jate Hai. Khair Bachpan Mei
Hui Nainsafi Kisi Na Kisi Surat Bare Ho Kar Samne Aati Hai. Ub Aap Chahe Diye
Jalaien Mulk Ko Rochni Dene K Lie Ya Phir Khud Apne Hath Jalane K Lie.