1 September 1994 Subh 9 Baj Kar
45 Minut Ek Nayi Jan Es Dunya Ma Ati Ha. Har Tarf Khushi Ki Lahar Dhorti Ha, Fon
Ki Ghanta Bajti Hn 'Aba G Mubarak Ho Ap Ek Dafa Pher Dada Ban Gaye Hn, Pota Hua
Ha ' 'Payan (Bahi) Bata Hua Ha Tusi Chachu Ban Gay Ho' 'Sadiq Mubark Ho Yaar
Bohet Bohet Mithayi Bhejwa Do Jaldi Jaldi'
Kuch Dino Bad Yh Fasla Hota Ha Ky Yh Bata Bary Bahi Ko Dy Dana Kew Ky Us Ki Olad
Nahi Ha , Pher Esa Hi Hota Ha 45 Din Bad Ek Maa Apni Nanhi Jan Kis Or Ko Sonp
Dati Ha. Un Kay Chahry Khil Uthty Hn Wo Us Bachy Ki Perwarish Bohet Ashy Sa
Karty Hn Etny Ashy Ssa Ka Us Ky Saky Maa Baap Bhi Na Kar Sakty Ho Shayad. Us Ko
Dunya Ki Har Khushi La Kay Dany Ki Koshesh Karty Hn. Waqat Guzarta Rahta Ha Akar
Ek Din Wo ‘Maa’ Kahna Seakh Lata Ha Us Ka Us Ki Maa Jo Asal Ma Us Ki Tayi Ami Ha
Khushi Ki Intiha Hoti Ha.
Waqat Ka Sath Sath Wo Bara Hota Rahta Ha Chalna Seakhta Ha Bolna Seakhta Ha Pher
Us Bachy Ko School Ma Dhal Dia Jata Ha. Bacha Dunya Sa Bykhabar Bus Mama Mama
Karta School Jata Ha, Pher Wo Bari Classes Ma Jata Ha, Sochta Ha Ka Ma Kitna
Khush Kismet Hu Ky Ma Akala Hu Dusro Ka Mazak Urata Ha Ky Tmhary Etny Bahi Bhan
Hn Dakho Ma Akala Hu Mughy Zayada Pocket Money Milti Ha
Pher Ek Din Us Ko Pata Chalta Ha Ky Us Ka Maa Baap Asli Nahi Han, Us Ky Paw Say
Jasy Zameen Hi Nikal Jati Ha, Pher Us Ko Subha Sham Yahi Khayal Aty Rahty Hn Ka
Yh Kia Ho Gaya Esa Kew Hoa . Sath Sath Us Ko Skon Bhi Hota Ha Ka Allah Na Us Ko
Hard Life Sa Nikal Ka Skoon Ki Zindgi Di. Waqat Ka Sath Sath Us Ko Dusry Log Maa
Bap Ka Khilaf Bharkany Lag Gay Taky Yh En Sa Du Ho Jay
Us Ki Zindgi Ek Tarha Sa Mit Si Gayi Us Ka Confidence Level Zero Ho Gaya, Kisi
Sa Bat Nahi Kar Sakta Tha, Khushi To Jasy Us Ki Zindgi Sa Chali Gayi Thi. Waqat
Guzarta Gaya Akhar Wo 20 Saal Ka Ho Gaya Ab Tak Us Ko Yh Samaj Nahi Aya Ka Hua
Kia Ha, Depretion Na Us Ko Ghera Hua Tha, Apni Zindgi Sa Tang A Gaya Tha, Us Ko
Lagta Tha Ky Jasy Sary Gam Usi Pa Hi Aty Han
Sath Sath Log Bhi Us Ko Bharkaty, 20 Saal Bad Us Ka Asli Maa Baap Ko Bhi Khayal
Aya Ka Yh To Mari Olad Ha, Bhany Bhany Sa Apny Sath Karny Ka Sochny Lag Gay, Bat
Na Bani To Direct Kahty Ka Hum Tumhary Waldan Hn. Sub Logo Na Us Ki Feeling Ka
Sath Khala. Akhar Kar Us Ka Bap Na Dusro Ka Sath Mill Ka Apny Pass Lany Ma
Kamyaab Ho Gaye
Jenho Na Us Ko Etni Mahnat Sa Pala Or Bara Ki Ashi Ash Gagha Parhaya, Rahny Ka
Lea E Kasha Life Styal Dia Un Ko Kasy Chor Sakta Thaw Aha Rah Ka Bhi Un Ko Hi
Yaad Karta Rahta