Planet X Nibiru Jis K Author David Meade Hain Un K
Mutabiq 23 Sep 2017 Ko Ye Planet Earth Sy Takra Kr Is Ko Tabah Kr Dy Ga.Lekin Is
Sy Phely Ma Btata Chaloon K Ye Wohi Planet Ha Jis Ny Phely 2003,Dec2012 Aur Phir
Sep 2015 Ma Earth Sy Takrana Tha Lekin Aisa Nai Howa.Lekin Is Bar David Meade Ka
Kehna Ha Solar Eclispe Is Ki Bari Nishani Ha K Nibiru Bohat Qareeb Ha Is K Ilawa
Bi Kuch Mazeed Saboot Un Ki Janib Sy Diye Gay Lekin Is Sy Phely 2012 Ma Jab NASA
K Ak Senior Scientist David Morrision Sy Nibiru K Bary Ma Poocha Geya To Un Ka
Kehna Tha K "Ye Na Momkin Sy Baat Ha Aisi Koi Cheez Wajud Hi Nai Rakhti Agar
Asia Ha To Usy Ab Tak Insani Ankh Sy Nazar A Jana Chaye Tha Un Ka Ye B Kehna Tha
K Solar System Ki Stability Is Ka Wazeha Saboot Ha ( K Nibiru Wajud Nai Rkhta)"
Is K Ilawa Jim Green Jo K Nasa Ki Scientist Hain "Un Ka Kehna Tha K Is Par Bohat
Thora Kam Kya Gya Ha Kuch B Bolna Qabal Az Waqt Ha" Is K Ilawa 2015's Potential
Apocalypse K Muqa Par Jab Nasa Experts Sy Ye Pocha Gya To Un Ka Kehna Tha "K
Jitna Behtar Hum Janty Hain Agly Kuch 100 Saloon Tak Koi Bari Cheez Earth Sy Nai
Takrany Wali".