Quran Ka Bhoola Sabaq
(Syed Kifayat Ullah Hashmi, Rawalpindi )
                Quran Ka Bhoola Sabaq Yaad 
Karo Aye Musalmano
ALLAH Talah Quran E Paak Main Irshaad Frmata Hai ''Or ALLAH K Rassi Ko Mazbuti 
Se Thaaam Lo Or Tafarruqay Main Na Paro''...
ALLAH Ki Kitab Main Musalmano K Lye Bilkul Saaf Pegham Hai K Hmesha ALLAH Ki 
Zaat Par Bharosa Kro Or Kisi Ko Us K Muqabl Na Jano Or Us K Sath Sath Aapus Main 
Muttahid Ho K Rho Kabi Ikhtilafat Ka Shikar Ho Kr Aik Dusray K Mukhalif Na Bun 
Jao.ALLAH Ki Kitaab Main Insaan Ki Hidayat K Khazanay Hain Jis Ko Hasil Krne K 
Lye Quran Ko Samajna Or Amal Krna Zruri Hai Magar Afsos Aj K Musalman Apnay Deen 
K Sabaq Ko Bhool Gaye Hain 
Hum Apne Msail Main Is Qadar Ulajh Gaye Hain K Hum Muttahid B Nahi Hoskay Hum 
Har Qisam K Andruni Ikhtilafat Ka Shikaar Hain Jis Ko Khatam Krne K Lye Quran K 
Rastay Par Chalnay Ki Zrurat Ha
Aj Har Musalman Dunya Par Ghaalib Honay Ka Khwab Dekhta Hai Jo Bilkul Theek Hai 
Kyu K Deen E Islam Hi Sacha Deen Hai Jo InshALLAH Ghalib Hoga Lekin Is Khuwab Ko 
Jald Tabeer Ki Manzil Par Pohonchanay Ki Zrurat Ha Jis Ka Rasta Sirf ALLAH K 
Ahkamat Par Amal Krne Se Milay Ga Jo Quran Or Hadees Par Amal Krna Hai.Aj Muslm 
Kamzor Hai To Palistine Azad Nahi Hai Bosnia Main Muslims K Sath Zulm Ho Rha Ha 
Kashmir Par Hindu Qabza Kr K Betha Hai Iraq America K Hath Main Hai Chechnia K 
Muslims Ab B Madad Ki Aas Lye Bethain Hain.Masjid E Aqsa Aj Bhi Kisi Salahuddin 
Ayyubi Ki Muntazir Hai.
Ye Sub Kuch Kuy Hoa?
Is Lye Kyu K Hum Ne ALLAH Ki Rassi Ko Mazbuti Se Na Pakra Or Aapus Main Nafrtain 
Barha Lee.
Hum Apne Rub Ka Diya Hoa Hidayat Ka Rasta Bhatak Gaye Ya Yu Kahain K Manzil To 
Pta Hai Magar Rasta Nazar Nahi Ata ..
Hadees E Rasool S.A.W Ha''ALLAH Is Kitaab (Quran) K Zariye Bohot Si Qomo Ko 
Urooj Nasseb Frmata Hai Or Bohot Si Qomo Ko Zawal Dikhata Hai''
Yani Jo Qomain Quran Se Faida Uthati Hain Wo Aaftaab Ki Tarah Chamakti Hain Or 
Jo Qom Faida Nahi Uthati To Zwal Us Qom Ka Muaddar Banta Hai...
ALLAH Se Yhi Dua Hai K Hmay Quran Ka Bhoola Sabaq Yaad Dila Ameen.
Aik Hafiz Ko Quran Bhool Jaye To Qayamat K Din Us Ko Ye Sza Milay Gi K Wo Undha 
(Blind)Apni Qabar Se Uthay Ga.Wo ALLAH Se Sawal Kray Ga K Ya ALLAH Main To Dunya 
Main Beena Tha Dakh Skta Tha Par Aj Main Undha Kyu Hu ?ALLAH Irshaad Frmaye Ga K 
Tu Dunya Main Mujhay Bhool Gaya Lo Aj Main Ne Tujhay Bhula Dia (Yani Aaj Tu Mujh 
Se Mrei Rehmat Ki Umeed Na Rakh).Zra Sochain K Hafiz Quran Bhula Day To Ye Sza 
Ha To Jo Qom Apna Sabaq Bhool Jaye Us Ka Kya Hoga...................
Quran E Paak Main ALLAH Talah Irshad Frmata Hai ''Islam Main Puray K Puray 
Dakhil Ho Jao.''.... 
Yani Mukammal Tor Par Apni Zndagi Ko Islam K Tareeqay Par Dhaal Lo ......
Aj Hmay Is Ayot Par Amal Krne Ki Zrurat Hai Hmay Pura Ka Pura Islam Main Daakhil 
Hona Hai.Munafiqat Ka Toq Apne Glay Se Utarna Hai.Ghairo Ki Ghulami Se Nijaat 
Hasil Krni Hai ALLAH K Agay Jhkna Hai Jo Hmara Farz Hai Or Jis Main Hmari Raah E 
Nijaat Hai.
Quran K Dars Ko Or Us K Paighaam Ko Puri Dunya Main Aam Krna Muslims Ka Farz Hai 
Kyu K Har Muslim Islam Ka Muballig Hai Jis K Zima Islam Or Quran Ki Baat Phelana 
Hai 
'' Quran O Sunnat Ki Daawat Le Kr Niklo Or Puri Dunya Par Chaa Jao'' (Syed 
Moudoodi,May ALLAH Be Pleased With Him Ameen)