Watan E Azeez Tabahi K Dahane Per

(Sobia Arif Abbasi, dhirkot bagh)

Aj Kal Pakistan Zawal Ka Shakar Hai Ak Taraf Wafaqi Darulhukumat Islamabad Lakhoo Ke Majme Ne Mulki Masheeyat Rok Rakhi Hai Ur Dosri Taraf Seelab Ki Zad Mein Anay Wale Lakhoo Log Lukma E Ajal Bante Ja Rahe Hain. Hukumat Ki Policy Qabil E Afsoos Hai Ak Mahiney Se Zyada Arsa Beed Gya Lakhoo Ka Majma Islamabad Mein Naye Pakistan Ka Khawb Dekh Raha Hai Ur Apne Uper Kiye Gaye Zulm O Tashaded Ka Izhar Go Nawaz Go Ki Surat Mein Krte Hain Magr Hukumat Ke Kan Mein Joo Tk Nahi Reegnti Ke Mulki Masheeyat Kitni Tabah Ho Rahi Hai.

Jab Awam He In Hukumarnoo Se Itni Mutaniffir Ho Chuki Hai To Sawal Ye Paida Hota Hai Ke Ye Hukumran Kis Per Apni Hakimiyat Kar Rahe Hain Matti Per Ya Drakhtoo Per Apni Shanshahyat Ko Bahal Rakhne Ke Liye Gareeb Awam Per Zulm O Sitam Kiye Ja Rahe Hain Un Ko Jailoo Mein Bund Kiya Ja Raha Hai Lakin Zulm Ki Tehni Kabi Nahi Phelti Hukumat E Pakistan Ke Zimadran Se Guzarish Hai Ke Khuda Aisi Policy Apnain Jis Se Mulk Tabahi Ke Dahane Se Bech Sake.

Dosri Taraf Asmani Ataf Seelab Ki Surat Mein Pakistan Ke Baaz Alakoo Ko Apni Lepaat Mein Liye Howa Hai Lakhoo Ke Hisaab Se Log Seelab Ki Nazar Ho Rahe Hain Wo Bhook Pyaas Se Tarapte Ja Rahe Hain Beghair Chat Ke Jin Ka Koi Sahara Nahi Jin Ka Koi Madad Karne Wala Koi Nahi Jinki Dadrasi Karne Wala Koi Nahi To Phr Ye Batain Ke Aj Ka Ye Hukumran Kis Baat Ka Hukumran Hai Jis Mulk Ke Awam Ki Ye Halat Ho Us Mulk Ur Hukumran Ko Kiya Name Dena Chaye Khud To Ye Log Mahloo Mein Bare Aram O Aasish Se Rehte Hain Unhain Gareeb Awam Ki Takleef Ka Kiya Ehsas Khud Per Se Guzre To Unhain Pata Chale Ke Musibat Kise Kehte Hain Kitne Dinoo Se Log Seelab Ke Reale Mein Phanse Howe Hain Lakin Abi Ak Unke Pass Hukumat Ki Taraf Se Koi Imdad Nahi Ponchi Nehayat He Afsoos Ki Baat Hai Ke Aj Ka Musalman Sirf Ur Sirf Apna Mufad Chahta Hai Halanka Mere Nabi (S.A.W) Ka Irshaad Hai Ke Tamam Musalman Jist E Wahid Ki Tarah Hain To Aj Ke Musalman Ko Kyou Dosre Bahi Ka Dard Mehsoos Nahi Hota Khuda Ra Apne Mulk Per Reham Khayain Ur Isko Khushhali Ki Reh Per Gamzan Karain .

Sobia Arif Abbasi
About the Author: Sobia Arif Abbasi Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.