Hum Banay Muqarer

(hukhan, karachi)

Wesay Tu Humaree Ghar Mein Bee Koi Nahi Sunta Bas Baher Thoraa Sa Humara Bharam Hay Kay Gahay Baghay Humein Koi Na Koi Bulaa Kar Izat Deta Hay .Wesay Tu Pakistan Mein Muqarer Hazraat Ki Kabi Koi Kami Nahi Rahee Baray Baray Qad Awar Logh Or Azeem Hastiyan Muqarer Ershaad Farma Gein Or Mazeed Bee Farmatay Rahein Gay.Taqreer Karna Huslay Ki Baat Nahi Magar Taqreer Sun Laina Bhut Hee Azam Or Huslay Say Mashroot Hay Taqreer Karnay Walay Kay Pas Knowledge Hu Na Hu Bas Uss Mein Ek Hi Khubhi Zarorai Hay Kay Wo Dheet Hu Kam Se Kam Sunta Hu Zayda Se Zayda Sunata Hu Jasay Aqsar Beghmaat Hutein Hein Magar Muqarir Radio Ki Tra Na Hu Qun Kay Radio Switch Off Hu Jata Hay.Aap Soch Rahay Hun Gay Kay Dheet Huna Qun Zarori Hay Bahi Agar Samnay Logh So Rahay Hun Hotting Kar Rahay Hun Jutian Dekha Rahay Hun Tu Kia Ap Mike Chore Du Gay Nahi Na Tu Yaqeenan Dheet Huna Bahut Zarori Hay .Bas Samnay Ju Baithay Hun Un Mein Bala Ka Sabar Huna Zarori Hay,,,Mein Tu Bas Apni Hee Kahay Jata Hun,,,,Loghun Ki Taqraar Ko Kaha Khatir Mein Lata Hun,,,,Meri Tu Koi Ghar Mein Hi Nahi Sunta Isi Liye Taqreer Karnay Chala Ata Hun.Agar Ap Ek Achay Muqarir Bana Chahtay Hein Tu Behray Or Andhay Ban Jaiye Ap Ko Loghun Ki Ouut Patangh Hoting Or Harkaton Se Beniaaz Bas Apnay Ragh Allapnay Anay Chaiye Koi Aap Ko Jitna Bee Buraa Bhala Kahay Ap Ko Isay Apni Taqdeer Ka Karwa Sach Samajh Laina Chaiye Bas Mike Ap K Hath Sey Na Jaye Beshaq Ap Ki Izat 2 Korri Hu Jaye Bahio Apnay Politicianz Sey Sekhu Kis Tara Wo Jhootay Waday Kartein Hein Kis Tara Wo Loghun Ko Baham Dast O Gareebaan Kartein Hein Magar Majaal Hay Ju Un Kay Kaan Par Juun Bee Reingh Jaye Pehlay Logh Anday Tematar Mara Kartay Thay Magar Mehanghaiee Ki Waja Say Ubh Tu In Cheeson Kaa Bee Muqarir Ko Daar Nahi Raha Werna Pehlay Tu Ye Vitaminz Or Proteinz Free Mein Hee Mil Jatay Thay.Wesay Jis Qom Mein Achay Bolnay Walay Or Un Hee Ki Tara Achay Sun Nay Walay Hun Tu Wo Qom Kabi Peechay Nahi Rehty Bas Zara Sa Intezaar Wo Bee Sabar Kay Phal Kay Sath .

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195935 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.